Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

kay jaysi suhbat waysa asar kion kay الصحبۃ موثرہ ya’ni suhbat asar rakhti hay. Jis khush naseeb ko achhi suhbat naseeb ho jaye us kay to waray hi niyaray ho jatay hayn kay achhi suhbat ki barakat say is kay andar bhi achhi ‘aadaton ka zahor honay lagta hay aur buri ‘aadaton say chutkarah milta hay, ‘amal ka jazba naseeb hota hay aur mu’asharay mayn usay ayk munfarid  maqam haasil ho jata hay. laykin bad qismati say agar kisi ko مَعَاذَ اللہ عَزَّ  وَجَلَّ   buri suhbat mil jaye to yon samajhye kay is ki halakat kay din shuro hogye kion kay buri suhbat kay asarat intihai tabah kun hotay hayn, nayk seerat aur bholi bhali Islami behan ko buri suhbat bulandi say pasti ki gehri khai mayn gira deti hay, burayon mayn izafay aur mu’asharay ki tabah o barbadi mayn buri doston ka hi kirdar hota hay, un mayn uthnay bathnay wali bhi ayk din inhi kay rang mayn rang jati aur mu’asharay kay bigar ka sabab ban jati hay.

Kis say dosti karni chahiye kis say nahyn?

Ameer ul Mumineen Hazrat Sayyiduna Umar Farooq e A’azam رَضِىَ اللهُ تَعَالٰی عَـنْهُ farmatay hayn: aysi chez mayn na paro jo tumharay liye mufeed na ho aur dushman say alag raho aur dost say bachtay raho magar jab kay wo ameen ho kay ameen kay barabar koi nahyn aur Faajir (gunah gaar) kay sath na raho kay wo tumhen fujor (gunah) sikhaye ga aur is kay samnay raz ki bat na kaho aur apnay kaam mayn un say Mashwaray lo jo Allah عَزَّوَجَلَّ say dartay hayn.

 (Shu’ab ul Iman, jild. 4, pp. 257, Hadees 4995)

Ameer ul Mumineen Hazrat Sayyiduna Maula ‘Ali mushkil Kusha رَضِىَ اللهُ تَعَالٰی عَـنْهُ farmatay hayn: Faajir say bhai bandi na karo kay wo apnay fe’l ko tumharay liye muzyyan karay ga aur ye chaahay ga kay tum bhi us jaysay ho jao aur apni badtareen khaslat ko achha kar kay dikhaye ga, tumharay paas is ka aana jana ayb  aur  nang hay aur ahmaq say bhi bhai charah na karo kay wo apnay ap ko mushaqqat mayn daal day ga, aur tumhen kuch nafa’ nahyn ponhchaye ga aur kabhi ye ho sakta hay kay tumhen nafa’ pohchana chaahay ga magar nuqasan ponhcha day ga, is ki khamoshi bolnay say behtar hay, is ki dori nazdeeki say behtar hay aur is ki maut zindagi say behtar, Kazzaab (jhotay) say bhi bhai charah na karo kay is kay hath mu’aasharat tumhen nafa’ na day gi, tumhari baat dosron tak pohnchaye ga aur dosron ki tumharay paas laye ga aur agar tum sach bolo gay jab bhi wo sach nahyn balay ga. (Tareekh e Ibn e ‘Asaakir, 516)