Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

Shaikh e Tareeqat, Ameer e Ahl e Sunnat, Bani e Dawat e Islami Hazrat ‘Allamah Maulana Abu Bilal Ilayas ‘Attar Qaadiri Razawi Ziyai دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ apni maya naaz tasneef “Nayki ki dawat” kay safha number 290 par farmatay hayn: Panjab(Pakistan)kay ayk mahallay mayn ayk ‘ajeeb o ghareeb badbu (bad-smell) mahsos honay lagi, alaqay walon ki khob justuju kay ba’d kahen ja kar badbu ka suragh mila, wo badbu ayk band ghar say aa rahi thi. Chunachay police ko ittila’ di gai. jab police walay logon ki mojodgi mayn tala tor kar ghar kay andar dakhil huye to ye dekh kar sab kay rongtay kharay ho gaye kay wahan charpai par ayk jawan aadmi ki laash pari thi aur is kay ba’z hissay gal sar chukay thay aur un mayn karay rayng rahay thay. Ye manzar daykh kar bachhon samayt kai afrad bayhosh ho gaye. Tahqeeq karnay par pata chala kay ye nojawan mehnat mazdori karnay kay liye is ilaqay mayn aaya tha, kiraye kay makan mayn rihaish pazeer tha aur ba’z juwariyon say is ki dosti thi. Ayk din ye nojawan apnay doston say juay mayn bahut sari raqam jeet gaya, haray huay juwari doston nay hari hui raqam lotnay kay liye is kay galay mayn phanda kasa aur bijli kay karant laga laga kar maot kay ghat utar dia, phir usay bay gor o kafan chor kar tala laga kar farar ho gaye. (Nayki ki dawat, pp.290)

Meethi meethi islami behno! suna apnay kay buri suhbat mayn uthna baythna kis qadar halakat o barbadi ka sabab aur buri suhbat mayn rehany ka kis qadar bhayanak anjam hota hay. Bila shubah suhbat insan ko kahen ka nahyn chorti, buron ki suhbat ki suhbat mayn baythna goya aafaton, balaon, aur museebaton kay darwazay khol deti hay. Basa auqaat yahi buray dost apnay faaiday ki khaatir apnay hi saathiyon kay  jani dushman ban kar un say jeenay ka haq cheen laytay hayn aur intihai aziyat kay ba’d maut kay ghat utar daytay hayn aur yon buray doston ki suhbat mayn rahnay walay mu’aashray mayn nishan e ‘ibrat ban jatay hayn. abhi ham nay juwariyon ki suhbat mayn rehnay walay shakhs ki ibrat naak maut ki hikayat suni lihaza hamen chahiye kay ham buray doston bilkhusos juye ki lat mayn mubtala khawaten ki suhbat e bad say dor rahen kay juye ki aafat ki wajah say apni mehnat say kamai hui sari jama’ ponji lutanay kay sath sath kaseer nuqsanaat ka samna karna parta hay. Jaysa kay