Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

Juye kay dunyawi nuqsanaat

Maktaba tul Madinah ki matboo’ah kitab “Tafseer e Siraat ul Jinan” jild 3 safha 24 par hay kay (1) juye ki wajah say juye bazon mayn bughz, ‘adawat, aur dushmani payda hoti hay aur basa auqat qatal o gharat giri tak nobat pohanch jati hay.(2) juye bazi ki wajah say maldar insan lamhon mayn ghurbat o aflas ka shikar ho jata hay, khushhal ghar bad haali ka nazarah paysh karnay lagtay hayn, achha khasa aadmi khanay paynay tak ka muhtaj ho kar reh jata, mu’aashray mayn is ka bana huwa waqar khatam ho jata hay aur samaj mayn is ki koi qadar o qeemat aur ‘izzat baqi nahyn rehti.(3) juye baaz nafa’ kay lalach mayn ba-kasrat qarz aur kabhi kabhi sudi qarz laynay par bhi majbor ho jata hay aur jab wo qarz ada nahyn kar pata ya usay qarz nahyn milta to wo dakah zani aur chori waghayrah mayn mubtala ho jata hay hatta kay juye baaz Charon jaanib say museebaton mayn aysa ghir jata hay kay bil aakhir wo khud khushi karnay par majbor ho jata hay. (Sirat ul Jinan, jild. 3, pp.24)

Aye! Juye ki muzammat par mushtamil 2 farameen e Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم sunye aur ibrat haasil kejiye. Chunchay

v  Irshad farmaya: jis nay nardsheer(juye ka ayk khayl) khayla to goya is nay apna hath khinzeer kay gosht aur khon mayn dabo dia.

 (Muslim, pp. 955, Hadees 2260)

v  Irshad farmaya: jo shakhs nard khaylta hay phir namaz parhnay uthta hay, is ki misaal us shakhs ki tarah hay jo peep aur suwar kay khon say wuzu kar kay namaz parhnay khara hota hay.

(Musnad e Imam Ahmad, jild. 9, pp. 50, 23199)

Allah عَزَّوَجَلَّ hamayn juye ki aafat say dor rehnay ki tofeeq ata farmaye aur Dawat e Islami say wabastah bahnon ki suhbat mayn rehtay huye apni zindagi naykiyon mayn basar karnay ki sa’adat naseeb farmaye.

اٰمِــيْن بِـجَـاهِ الـنَّـبِـیِّ الْاَمِــيْن صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

صَـلُّوا عَلَى الْـحَـبِيْب                                                                                                                                 صَـلَّى الـلّٰـهُ تَـعَـالٰى عَـلٰى مُـحَـمَّد

Meethi meethi islami behno! Mashhor kahawat hay kay kharbozay ko daykh kar kharbozah rang pakarta hay. Bas suhbat ka bhi kuch aysa hi asar hota hay