Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

Hazrat Sayyiduna Ja’far bin Sulayman رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه  farmatay hayn kay mayn nay ayk kuttay ko Hazrat Sayyiduna Malik bin Dinar رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay paychay paychay chaltay dekha to kaha: aye Abu Yahya! Ap kay sath ye? Farmaya: ye(kutta) buray ham nasheen say behtar hay. ( Mu’jam Ausat, jild. 1, pp.192, raqam 641)

Meethi meethi islami behno! suna ap nay kay buri suhbat dunya o aakhirat kay liye kis qadar nuqsan dah hay. Lihaza ‘aafiyat isi mayn hay kay ham buri suhbat say dor rahen kay kahen aysa na ho buri suhbat mayn rehnay ki wajah say log hamaray mutalliq bhi tarah tarah ki baten banaen aur hamayn buray alqabaat say pukaren. Aye! Buri suhbat ki halakat khayzyon say bachnay kay liye is ki muzammat par mushtamil 4 farameen e Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم suntay hayn aur un say haasil honay walay naseehat kay Madani phool chuntay hayn, chunachay

1.       Irshad farmaya: buray saathi say bacho kion kay wo jahannam ka ayk tukra hay, us ki mahabbat tumhen faaidah nahyn pohchaye gi aur wo tum say apna wa’dah pora nahyn karay ga.

(Firdaus ul Akhbar, jild. 1, pp. 224, Hadees 1573)

2.        Irshad farmaya: buray ham nasheen say bacho kay tum is kay saath pahchanay jao gay. (Tareekh e Ibn e ‘Asaakir, 14/46)

3.        Irshad farmaya: subuh is haal mayn karo kay tum ‘aalim ho ya mut’allim( taalib e ilm) ya ‘aalim ki baten sunnay walay, ya ‘aalim say mahabbat karnay walay aur panchwen na hona kay halak ho jao gay.

(Kashf ul Khifa, jild. 1, pp. 134, Hadees 437)

4.        Irshad farmaya: achha aur buray hamnasheen ki misaal mushk kay uthanay aur bhatti dhanknay walay ki si hay mushk wala tumhen mushk waysay hi day ga ya tum is say khareedo gay, aur kuch na sahi to khushbu to aye gi aur bhatti dhonknay wala tumharay kapray jaladay ga ya tum is say badbu pao gay.

(Bukhari, jild. 2, pp. 20, Hadees 2101)

Mashhor Mufassir e Quran, Hakeem ul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan
 رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه bayan kardah Hadees e paak ki sharh kartay huye farmatay hayn: سُـبْحٰـنَ الـلّٰــه عَزَّوَجَلَّ ! kaysi pakeezah misaal hay jis kay zaree’ay samjhaya gaya hay kay buron ki suhbat faaidah aur achhon ki suhbat nuqsan kabhi nahyn day