Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

رَضِیَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهُم kay kuttay hi ko lay lejiye kay jo pahlay ayk ‘aam sa kutta tha magar usay Ashab e Kahaf رَضِیَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهُم say mahabbat o ulfat ho gai thi wo un Allah عَزَّوَجَلَّ walon ki mahabbat mayn un ka rafeeq, shareek e safar aur muhafiz ban gaya, Auliya e Kiraam, رَحِمَهُمُ الـلّٰـهُ تَـعَالٰی ki suhbat ki barakaten to kia naseeb huyen, is ki to qismat hi chamak uththi aur is ka maqam o martabah itna buland ho gaya kay Rab عَزَّوَجَلَّ nay apnay pakeezah Kalam e Quran Kareem mayn apnay maqbool bandon yani Ashab e Kahaf رَضِیَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهُم kay sath sath is ka bhi zikr farmaya, chunachay Parah 15, Sorah, Kahaf ki Aayat number 18 mayn irshad Khudawandi hay:

وَ كَلْبُهُمْ بَاسِطٌ ذِرَاعَیْهِ بِالْوَصِیْدِؕ-

Tarjamah:

Aur un ka kutta apni kalaiyan phelaye huye hay ghaar ki chokhat par.

(Parah. 15, Sorah. Kahaf, Aayat. 18)

Hazrat Sayyiduna Abu Abdullah Muhammad bin Ahmad Qurtabi رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn: jab Nayk bandon aur Auliya e Kiraam رَحِمَهُمُ الـلّٰـهُ تَـعَالٰی ki suhbat mayn rehnay ki barakat say ayk kutta itna buland maqam pa gaya kay Allah عَزَّوَجَلَّ nay is ka zikr e khayr Quran paak mayn farmaya to us musalman kay baray may tumhara kia khayal hay jo Auliya رَحِمَهُمُ الـلّٰـهُ تَـعَالٰی aur Nayk bandon say mahabbat karnay wala aur in ki suhbat say fayzyab honay wala hay balkay is Aayat mayn un musalmanon kay liye tasalli hay jo kisi buland maqam par faaiz nahyn. (Tafseer e Qurtabi, Aayat. 18) yani un kay liye tasalli ha kay wo apni is mahabbat o ‘aqeedat ki wajah say Allah ki Bargah mayn kamyab hon gay. (Siraat ul Jinan, Parah. 10, Kahaf, Aayat. 18)

Madani channel

 Meethi meethi islami behno! suna ap nay kay insan ho ya janwar achhi suhbat say faizyab honay wala koi bhi mahroom nahyn rehata balkay is par Rab عَزَّوَجَلَّ ka khaas fazl o karam hota hay aur is ka bayra paar ho jata hay. Is pur fitan daur mayn achhi suhbat panay ka ayk behtreen zaree’ah Dawat e Islami ka mushkbar Madani Mahool hay. اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ is Madani Mahool ki