Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

hon. Tajdar e Risaalat, Shahanshah e Nubuwwat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka farman e aalishan hay: jis nay mari Sunnat say mahabbat ki us nay mujh say mahabbat ki aur jis nay mujh say mahabbat ki wo Jannat mayn maray sath hoga. (Mishkat ul Masaabeh, jild. 1, pp. 55, Hadees 175)

baat cheet karnay kay 12 Madani phool

(1)muskura kar aur khandah payshani say baat cheet kejiye.(2)musalmanon ki dil joi ki niyyat say choton kay sath mushfiqanah aur baron kay sath muaddabanah lahja rakhye اِنْ شَــآءَالـلّٰـه عَزَّوَجَلَّ sawab Kamanay kay sath sath donon kay nazdeek ap mu’azaz hon gay(3) chilla chilla kar baat karna jaysa kay aajkal bay takallufi mayn aksar dost aapas mayn karatay hayn Sunnat nahyn(4) chaahay ayk din ka bachha ho achhi achhi niyyaton kay sath us say bhi ap janab say guftugo ki ‘aadat banaye. Ap kay akhlaq bhi اِنْ شَــآءَالـلّٰـه عَزَّوَجَلَّ umdah hon gay aur bacha bhi adab sekhay ga(5) baat cheet kartay waqt parday ki jaga hath lagana, ungliyon kay zaree’ay badan ka mayl churana, dosron kay samnay baar baar naak ko chona ya naak ya kaan mayn ungli dalna, thoktay rehna achhi baat nahyn, is say dosron ko ghin aati hay(6) jab tak dosra baat kar raha ho, itminan say sunye. Is ki baat kaat kar apni baat shuro kar dena Sunnat nahyn(7) baat cheet kartay huye balkay kisi bhi haalat mayn qahqaha na lagaye kay Sarkar صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم nay kabhi qahqaha nahyn lagaya.(8) ziyadah baaten karnay aur baar baar qahqaha laganay say haybat jati rehti hay.(9) Sarkar  صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka farman e aalishan hay: jab tum kisi banday ko dekho kay usay dunya say bay raghbati hay aur kam bolnay ki ne’mat ‘ata ki gai hay to us ki qurbat o suhbat ikhtiyar karo kion kay usay hikmat di jati hay. (Sunan e Ibn e Majah, jild. 4, pp. 422 Hadees 4101).(10) farman e Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم “jo chup raha us nay najat pai”.(Sunan e Tirmizi, jild. 4, pp. 225, Hadees 2509) miraat ul Manajeeh mayn hay: Hujjat ul Islam Hazrat Sayyiduna Imam Muhammad bin Muhammad Ghazali رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn kay: guftgo ki 4 qismen hayn: (1) khalis muzir( yani mukammal tor par nuqsan deh) (2) khlis mufeed (3) muzir (ya’ni nuqsan deh) bhi aur mufeed bhi (4) na muzir na mufeed. Khalis muzir say hamayshah parhayz zarori hay, khaalis mufeed kalam(baat)zaroor kejiye, jo kalam muzir bhi ho mufeed bhi us kay bolnay mayn ihtiyat behtar hay kay na bolay aur choti qisam mayn waqt zaa’i karna hay. un kalaamon mayn Imtiyaz karna mushkil ha lihaza