Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

buray mahool kay nuqsanaat bayan kiye gaye hayn. Maktaba-tul-Madinah say is kitab ko hadyatan haasil kar kay khud bhi mutala’ah kejiye  aur dosri islami behnon ko bhi is ki targheeb dilaye. Dawat-e-Islami ki website www.dawateislami.net say is kitab ko parha bhi ja sakta hay, download aur printout bhi kia ja sakta hay.

صَـلُّوا عَلَى الْـحَـبِيْب                                    صَـلَّى الـلّٰـهُ تَـعَـالٰى عَـلٰى مُـحَـمَّد

 

 Meethi meethi islami behno! til ko agar ghulab kay phool mayn rakh dia jaye to is ki suhbat may reh kar wo bhi gulabi ho jata hay isi tarah achhi suhbat mayn uthnay bathnen wali bhi din ba din un kay rang mayn rangti chali jati hay. Jo khush naseeb islami behnen khauf e Khuda o ishq e Mustafa ki la-zawaal daulat say mala maal hon, mahabbat e Sahabah o Ahl e Bayt ki dolat say sarshar hon, sar ta pa Sunnaton ki chalti phirti tasweer hon, jin ki suhbat ki barakat say ‘amal ka jazbah barhta ho, gunahon say nafrat aur fikr e aakhirat naseeb hoti ho to aysi islami behnon ka faizan panay wali bhala kis tarah barkaton say mahroom reh sakti hay. Hazrat Sayyiduna Muslihu ul Deen Sa’di Shayrazi رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay achhi suhbat ki ahmiyat ko nihayat khob sorat andaz mayn bayan farmaya hay.

Chunachay ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه Gulistan e Sa’di mayn farmatay hayn, jis ka tarjamah kuch yon hay yani ayk roz khushbudar matti hammam mayn mujhay ayk dost kay hathon say mili mayn nay us matti say kaha to mushk hay ya ‘anbar! Tari dilkash khushbu nay mujhay bay khud kar dia hay. (ye sun kar matti nay kaha) mayn to haqeer( yani adna si) matti thi laykin ayk muddat tak mayn pholon ki suhbat mayn rahi pas ham nasheen kay jamal nay mujh mayn asar kia(kay mayn khushbu dar ho gai) warna mayn to wahi khaak o matti hon jo pahlay thi.

(Gulistan e Sa’di, pp. 4)

Achhi suhbat ki barakaat

 Meethi meethi islami behno! jis qadar mumkin ho Dawat e Islami kay mahool say wabastah islami behon ki suhbat say wabastah rahiye kay achhi suhbat insan to insan agar kisi janwar ko bhi naseeb ho jaye to phir wo ‘aam janwar nahyn rehta balkay achhi suhbat o nisbat ki barakat say is ki shan o shokat aur ahmiyat o rif’at kai gunah barh jati hay, jaysa Ashab e Kahaf