Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

aay, us mayn kuch aalo bukharay ghar walon nay kha liye, jab baqi aalo bukharay rakhnaylagay to baytay nay kaha: abu jaan! Un mayn ayk gala sara aalo bukhara bhi hay usay nikaal dejiye walid sahib bolay: abhi rehnay do, kal daykhayn gay. Doosray din jab baap baytay nay aalo bukharay daykhay to galay saray aalo bukharay kay qareeb walay aalo bukharay bhi kharab ho chukkay thay. Ab walid sahib nay baytay ko samjhaya: daykha bayta! Suhbat ka kitna asar hota hay ayk saray howay aalo bukharay ki suhbat say doosray achhay walay aalo bukharay bhi kharab ho gaye! Madani munnay ki samjh mayn aa gaya aur us nay buray dooston mayn baythnay say taobah kar li.

(Doodh peeta Madani munna, safha 27)

Meethi meethi Islami behno! Daykha ap nay kay ayk `aqalmand baap nay apnay Madani munnay ko buri suhbat say rooknay ka kaisa tareeqah ikhtiyar kiya keh us nay ayk nanhayn zehn kay mutabiq `aam si misaal kay zareye usay buri suhbat kay nuqsan say agah kiya to baytay nay bhi ba asani apnay baap ki baat yeh soch kar Qabool kar li keh jis tarah un gallay saray aalo bukharon kay darmiyaan reh kar achhay aalo bukharay bhi kharab ho gaye to kahyn aysa na ho keh buray dooston ki suhbat ki nahosat kay sabab mayn bhi un jaysa ban jaon!. Ghaor kejiye keh ayk taraf to aysay khosh naseeb walidayn  ka shandar kirdar hamaray samanay hayn jab keh dosri janib hamaray ma`ashray mayn aysay nadan bhi hayn jo apni aolaad ko achhi suhbat mayn baythnay ki targheeb dilana to door ki baat hay achhi suhbat mayn baythnay say hi roktay hayn, phir basa aoqaat yahi aolaad jab buri suhbat ka shikaar ho kar bigar jati hay to walidayn apnay kiye par kaf-e-afsoos miltay reh jatay hayn magar” ab pachtaye kiya hawat jab chirriyan chug gayen khayt. “lihazah phirlaakh koshashon kay bawajood bhi aysi aolaad rah-e-rast par nahin ati, chunachay

Madani qaflay say rooknay kay nuqsan

Shaikha-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat, Bane-e-Dawat-e-Isalami Hazrat-e-`Allama maulana Abu Bilal Muhammad Ilyas `Attar Qadri Razavi ziyai
 
دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ Apni tasneef “Faizan-e-Sunnat” kay safha number 61 par farmatay hayn keh Madina-tul-Auliya Ahmad Abad (Hind) kay ayk Aashiq-e-Rasool nay ayk naojawan par Infiradi koshish kar kay us ko Madani qaflay mayn safar kay liye amadah kar liya, magar walid sahib nay dunyavi t`aleem mayn rukawat kay khaof say ukhravi t`aleem kay safar (Travel) say rook diya.