Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

magar ‘asari uloom kay husool mayn mashgholiyat ki waja say madrasay mayn pabandi say haazir na ho paten, laykin jab bhi inhen madrasay mayn shirkat ki sa’adat haasil hoti to parhanay wali Islami behan intihai mahabbat o shafqat farmaten, inhen Madani Mahool say wabastah honay , aur mazeed ilm e Deen haasil karnay ki targheeb dilaten, yon raftah raftah dil par chhai ghaflat door honi lagi aur `ilm-e-deen kay fazail sun kar husool-e-`ilm-e-deen ka  jazbah dil mayn mojzan ho gaya. اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ  isi jazbay kay teht unhon nay Dawat-e-Islami  kay teht  honay walay “Share`at course” say fayzyaab honay kay liye jami`at-al-madinah (lilbanaat) mayn dakhila lay liya, ibtidaan ye jami`ah bhi  perhnay jatin aur us kay b`ad M Phil (M.Phil) ki tayyari bhi kartin, youn hi 6 maah guzar gaye, اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ  is Mukhtasar “ share`at course” mayn  unhayn bahut kuch seekhnay ko mila, `ibadat ka shaoq naseeb howa, dunya-e-fani ki haqeeqat ka pata chala aur youn wo Madani mahool say wabasta ho gayen.

Isi daoraan unhayn ayk baray school say ayk aham tareen mazmoon parhanay ki offer hoi magar “share`at course” ki barkat say un kay dil mayn aysi fikr-e-aakhirat ujagar ho chuki thi kay unhon nay usay qubool karnay say inkaar kar diya aur usi “share`at course” ki barkat say Dars-e-Nizami(`Aalimah course) karnay kay liye Dawat-e-Islami kay “ Jami`at-al-Madinah (lilbanaat)” mayn dakhila lay kar zaoq-o-shaoq kay sath husool-e-`ilm-e-deen mayn mashghool ho gayen. Dawat-e-Islami kay tahat honay walay Islami behnon kay hafta waar  Sunnaton bharay ijtim`a mayn shirkat karna aur deegar Madani kamon mayn barh charhh kar hissah layna un kay m`amolaat mayn shamil ho gayan. Ijtima`aat mayn honay walay Sunnaton bharay Bayanaat sun kar un kay dil mayn khaof-e-khuda aur Ishq-e-Mustufa ujagar ho gaya. Durood-e-pak parhna un ka ma`amool ban gaya, dil mayn deedar-e-Mustufa ka jaam peenay ki tarap payda ho gayi, Dawat-e-Islami waliyoun ki suhbat ki barkat say Madinay ki yaadon mayn gum rehnay lagi, sooch-o-fikir par achhay afkaar taari rehnay lagay, un ki khosh qismati keh ayk din jab yeh soyen to un ki qismat ka sitarah chamak uthha, sar ki aankhyn kiya band hoyen dil ki aankhyn roshan ho gayen, اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ  Unhayn khwaab mayn Aaqa  صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki Ziyarat ka sharf hasil kiya. Is mubarak-o-rahmat bharay khuwab kay b`ad unhon nay deegar tamaam masroofiyaat khatam kar kay apnay ap ko khidmat-e-deen kay liye waqf kar diya aur tadam-e-bayan Islami behnon ki `aalami majlis-e-