Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

Dunyawi Uloom o Funoon ki digriyan haasil kar laynay aur un mayn maahir honay kay ba Wujood bhi apnay nafs par i’etimaad (trust) na karay aur bad mazhabi aur buraiyon mayn mubtala khawaten ki suhbat say dor bhagay aur hamayshah Dawat e Islami kay Madani Mahool say wabastah behnon hi ki suhbat apnaye. اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ Dawat e Islami ka Madani Mahool ‘ishq e Rasool ki dolat say mala maal Islami behnon ki suhbat panay ka ayk behtreen  zaree’ah hay lihaza ap bhi is Madani Mahool say wabastah ho kar Zayli halqay kay 8 Madani kaamon mayn mashghool ho jaye. Zayli halqay kay 8 Madani kamon mayn say ayk Madani kaam”Madrasa tul Madinah (Balighat)” mayn parhna ya parhana bhi hay. dunya kay Mukhtalif mumalik mayn Islami behnon kay liye andar taqreeban rozanah hazaron Madaaris ba naam Madrasa tul Madinah(Balighat) bhi lagaye jatay hayn, jin mayn Islami behnen Quran e paak, Namaz aur Sunnaton ki muft ta’leem paten  aur Du’aen yaad karten hayn. Quran e Kareem seekhnay aur sikhanay walay donon khush qismat hayn kay Nabi e Kareem صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka farman e aalishan hay: خَیْرُکُمْ مَنْ تَعَلَّمَ الْقُراٰنَ و َعَلَّمَہٗ ya’ni tum mayn say bahtreen shakhs wo hay jis nay Quran sekha aur dosron ko sikhaya. (Bukhari, jild. 3, pp. 410, Hadees 5027) burayon mayn mubtala khawateen jab Dawat e Islami kay Madani Mahool say wabastah Islami behnon ki suhbat mayn reh kar Madrasa tul Madinah Balighat mayn Quran e kareem seekhnay aati  hen to اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ un par kaysa zabar dast Madani rang charhta hay. aye! Is ki Iman afroz jhalak mulahizah kejiye aur jhomye, chunachay

Baab ul Madinah(Karachi) ki ayk Islami behan ka talluq ayk kaysay gharanay say tha kay jis mayn baytiyon ko a’ala ta’leem dilwanay ko tarjeeh di jati thi, isi tarah inhen  bhi a’ala ta’leem dilwanay kay liye pahlay school aur is kay ba’d collige mayn dakhil karwa dia gaya. Jis kay sabab wo maut kay mu’amlaat say ghaafil ho gaen. Fikr e aakhirat ki shama’ kuch yon farozan hui ka jab wo B.S.C kar rahen thi to is doran ayk din Dawat e Islami kay Madani Mahool say wabastah in ki apni behan nay Mukhtasar waqt mayn Tajweed o Makhaarij ka sath Quran e Paak perhnay kay liye ”Madrasa tul Madinah (Balighat)” mayn dakhilah laynay ki dawat paysh ki. Lihaza unhon nay apni behan ki dawat par labbaik kahtay huye ilm e Deen kay noor say Munawwar honay kay liye ”Madrasa tul Madinah (Balighat)” mayn jana shuro kar dia