Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

is ka kia sabab hay? Farmaya; ye un mayn say hay yani gumrahon mayn say hayn.

Sayyiduna Imam Ibn e Seeren ki bad mazhabon say nafrat

Isi tarah Imam Ibn e Seeren رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay paas do bad mazhab  aye. Arz ki, kuch Aayat e Kalam Ullah ap ko sunaen! Farmaya: mayn sunna nahyn chahta. Arz ki kuch Ahaadees e Nabi صَلَّى اللهُ  تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم sunaen: farmaya: mayn sunna nahyn chahta. Unhon nay israr kia. Farmaya: tum donon uth jao ya mayn uth jata hon. Aakhir kar wo khaaib o khaasir chalay gaye. Logon nay arz ki ay Imam ap ka kia harj tha agar wo kuch Aayaten ya Hadeesen sunatay? Farmaya: mayn nay khauf kia kay wo aayat o ahadees kay sath apni kuch taweel lagaen aur wo maray dil mayn reh jaye to mayn halak ho jao.

(A’ala Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nayn ye waqi’aat naqal karnay kay ba’d) phir farmaya: aimmah رَحِمَهُمُ الـلّٰـهُ تَـعَالٰی ko to ye khauf aur ab ‘awaam ko ye jurat hay وَلَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّۃَ اِلَّا بِاللہ. Dekho! Aman ki rah wahi hay jo tumhen tumharay piyaray Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم nay batai, اِیَّاکُمْ وَ اِیَّا ھُمْ لَا یُضِلُّوْنَکُمْ وَلَا یَفْتِنُوْنَکُمْ un bad mazhabon say dor raho inhen apnay say dor karo, wo tumhen fitnay mayn na dal den. Dekho! Najat ki rah wahi hay jo tumharay Rab عَزَّوَجَلَّ nay batai:

فَلَا تَقْعُدْ بَعْدَ الذِّكْرٰى مَعَ الْقَوْمِ الظّٰلِمِیْنَ(۶۸)

Tarjama e Kanz ul Iman: To yaad anay par zaalimon kay paas na baytho.

(Parah. 7, In’aam, Aayat. 68)

Bholay say un kay paas bayth gaye ho to yaad anay par foran kharay ho jao. (Fatawa Razawiyah, jild. 15, pp. 106/107)

Mahfooz sada rakhna Shaha bay adabon say

Aur mujh say bhi sarzad na kabhi bay adabi ho

8 madani kaamon mayn say ayk Madani kaam” Madrasa tul Madinah Balighat”

Meethi meethi islami behno! suna ap nay kay buri suhbat apnay andar kis qadar halakat khayzyon ko liye hoti hay kay jo baron baron ko rah haq say bhatka deti hay lihaza samajhdar Islami behan ko chahiye kay wo Deeni o