Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

say mulaqat ho gai aur donon mayn dosti ho gai, chohay nay kaha kay kabhi milnay ko dil chahay to ap pani ki gehrai mayn hotay hayn jahan aawaz nahyn pohanch sakti to phir ap ko ittilaa’ kis tarah ho? Aakhir tay ye paya kay ayk taga(dhaga) chohay kay paon mayn aur is ka dosra sira mayndak kay paon mayn bandh dia jaye. Waqt e zarorat ittilaa’ ki tarkeeb ho jaye gi, chunachay aysa hi kia gaya. Ayk din achanak kawway nay chohay par jhapatta mara aur is ko munh mayn lay kar ura to mayndak bhi dhagay mayn bandha honay kay sabab is kay sath kincha kincha hawa  mayn chala ja raha tha, mayndak nay kaha kay ye chohay jaysay na jins( na laaiq) say dosti ki saza hay. Ma’loom huwa na jinson( na laaiqon ) aur buri buri suhbaton kay sabab bahut aafaat pohanchti hayn.

Ay fughan as yaar e na jins ay fughan

Hamnasheen e nayk joad ay mahan

faryad! Na jins (na laaiq) dost say faryad hay. ay dosto! Nayk sathi talash karo

bad mazhabon ki suhbat zahr e qaatil hay

Meethi meethi islami behno! ma’loom huwa kay baywaqofon ki suhbat kahen ka nahyn chorti balkay basa auqaat un ki nahosat “ ham to dobay hen sanam tum ko bhi lay doben gay” kay misdaaq dosron ko bhi barbadi kay gehray garhay mayn dhakayl deti hay. yaad rahay! Jis tarah degar gunahon mayn mulawwas rehnay waliyon kay sath uthna baythna baais e halakat hay isi tarah bad mazhabon say mayl jol rakhna, un ki taqareer sunna, kitaben parhna, un kay sath khana peena ya rishtay dari qaaim kar layna bhi Iman kay liye zahr e qaatil hay aur dunya o aakhirat ki shaded tabahi o barbadi ka sabab hay. afsos! Fi zamanah ba’z nadan un say ta’alluqaat is liye qaaim karten hayn aur ye kahti sunai dayti hayn kay hamen koi hila nahyn sakta, ham bahut hi mazboot hayn, ham nay un say ta’alluq is liye qaaim rakha huwa hay ta kay inhen apnay jaysa bana layn, isi tarah kuch nadan gharanay aysay bhi hayn jo sirf dunya ki achhi ta’leem ki khaatir apnay nonihalon ko bad mazhab ustaniyon kay supurd kar daytay hayn aur bil aakhir bachhay baray ho kar bad mazhabi ikhtiyaar jatay hayn. Aysay logon ko chahiye kay A’ala Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay is kalam say ibrat haasil karen , chunchay A’ala Hazrat Ahmad Raza Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn: ghayr mazhab waliyon(ya walon) ki suhbat aag ki tarah hay, zi ilm, ‘aaqil, Baaligh, mardon kay mazhab( bhi ) is mayn bigar jatay