Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

نِـيَّةُ الْمُؤْمِنِ خَـیـْرٌ مِّـنْ عَمَلِهٖ’’

Musalman ki niyyat us kay amal say behtar hay.

Do Madani phool  

v  Baghayer achchi niyyat kay kisi bhi amal khayr ka sawab nahi milta.

v  Jitni achchi niyyatayn Ziyada, utna sawab bhi Ziyada.

Bayan sunnay ki niyyatayn

Nigahayn neechi kiye khoob kaan laga ker bayan suno gi.

Tayk laga ker bethnay kay bajay ilm e din ki ta’zeem ki khaatir jahan tak ho saka do zaanon bethoon gi.

Zaroratan simat kar dosri islami bahnon kay liye jaga kushadah kroon gi.

Dhakka waghayrah laga to sabr karoon gi.

Ghhornay Jhiraknay aur ulajhnay say bachon gi.

صَلُّوْا عَلَی الْحَبِیْبِ اُذْکُرُوااللّٰـہَ، تُوبُوْا اِلَی اللّٰـہِ    Waghayrah sun kar sawab Kamanay or sada laganay walay ki dil joy kay liye past awaaz say jawab don gi.

Ijtima’ kay bad khud aagay berh kar salaam o musafahah or Infiradi Koshish karoon gi.

Doran e bayan mobile kay ghayr zarori isti’mal say bachon gi,

Na bayan Record karo gi aur na hi kisi aur qism ki aawaz kay iski ijazat nahi

Jo kuch sunogi usay sun kay samajh kay uspar ‘amal kernay kay ba’d Mayn dusron tak pohancha kay nayki ki da’wat ‘aam kernay ki Sa’adat haasil karoon gi

صَـلُّوا عَلَى الْـحَـبِيْب                                                                                                                                 صَـلَّى الـلّٰـهُ تَـعَـالٰى عَـلٰى مُـحَـمَّد

Buri suhbat ka anjam