Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

hayn. Imran bin Hattan Riqashi ka qissah mashhor hay, ye tabi’een kay zamanay mayn ayk bara Muhaddis th, bad mazhab aurat(say shadi kar kay is) ki suhbat mayn (reh kar) khud bad mazhab ho gaya aur ye da’wa kia tha kay is say shadi kar kay usay sunni karna chahta hay. jab suhbat ki ye haalat (kay itna bara Muhaddis gumrah ho gaya) to (bad mazhab ustad ko) ustad banana kis darjah badtar hay kay ustad ka asar bahut ‘azeem aur nihayat jald hota hay, to ghayr mazhab aurat (ya mard) ki supurdgi ya shagirdgi mayn apnay bachhon ko wahi day ga jo ap (khud hi) Deen say wastah na rakhta aur apnay bachhon kay bad Deen ho janay ki parwah nahyn rakhta.

( Siraat ul Jinan, jild. 7, pp. 20)

Meethi meethi islami behno! Maktaba tul Madinah ki matbo’ah Tafseer e Siraat ul Junan mayn hay kay bad mazhabiyon ki mahfil mayn jana aur un ki taqreer sunna na jaaiz o haram aur apnay ap ko bad mazhabi o gumrahi par paysh karnay wala kaam hay. un ki taqareer aayat e Quraniah par mushtamil hon khuwah Ahadees Mubarakah par, achhi baten chunnay ka za’am rakh kar bhi inhen sunna hergiz jaaiz nahyn. ‘ain mumkin balkay aksar tor par waaqi’ hay kay gumra shakhs apni taqreer mayn Quran o Hadees ki sharh o wazahat ki aar mayn zaroor kuch baten apni bad mazhabi ki bhi mila dia kartay hayn, aur qawi khadshah balkay wuqo’ ka mushahadah hay kay wo baten taqreer sunnay walay kay zehan mayn raasikh ho kar dil mayn ghar kar jati hayn. Yahi wajah hay kay gumrah o bay Deen ki taqreer o guftugu sunnay wala khud bhi gumrah ho jata hay. hamaray aslaf رَحِمَهُمُ الـلّٰـهُ تَـعَالٰی apnay Iman kay baray mayn bay had muhtat huwa kartay thay, lihaza bawajood ye kay wo ‘aqaday mayn intihai mutasallib o pukhtah hotay phir bhi wo kisi bad mazhab ki baat sunna har giz gawara na farmatay thay agarchay wo so baar yaqeen dihani karata kay man sirf Quran o Hadees bayan karon ga. chunachay

Aadha lafz bhi na suna

A’ala Haztat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه is baray mayn aslaf ka ‘amal naqal kartay huye farmatay hayn: Hazrat Sayyiduna Sa’eed bin Jubayr shagird e Abdullah bin ‘Abbas رَضِیَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهُم ko rastah mayn ayk bad mazhab mila. Kaha, kuch arz karna chahta hon. Farmaya: mayn sunna nahyn chahta. Arz ki ayk kalimah. Ap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay apna angotha chungliyan kay siray par rakh kar farmaya: وَ لَا نِصْفَ کَلِمَۃٍ‘‘ ya’ni aadha lafz bhi nahyn. Logon  nay arz ki,