Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

Madani Muzakarah daykhnay ki targheeb dilaye, gunahon bharay channel dekhnay say khud bhi bachye aur dosron ko bhi bachaye. اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ Madani channael par mu’ashray mayn paye janay wali un tamam buraiyon ki nishandahi ki jati hay jo dunyawi nuqsan kay sath sath Ba-Roz e Qiyamat bhi zillat o ruswai ka baais ban sakti hen. Aye! Niyat kartay hayn kay aaj kay ba’d gunahon bharay channels nahyn dekhen gay aur na gunahon kay qareeb jaen gay balkay khaalis Allah عَزَّوَجَلَّ ki riza o khushnodi kay liye khob khob naykiyan karen gay. اِنْ شَــآءَالـلّٰـه عَزَّوَجَلَّ 

Allah عَزَّوَجَلَّ hamen apni niyat par saabit qadam rehtay huye ‘amal ki tofeeq ata farmaye.

اٰمِــيْن بِـجَـاهِ الـنَّـبِـیِّ الْاَمِــيْن صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Bayan ka khulasah

v  Buri suhbat mayn baythnay wala mu’ashray mayn nishan e ibrat ban jata hay.

v  Buri suhbat mayn baythnay say hamayshah nuqsan hi uthana parta hay.

v  Badmazhabon ki suhbat Iman kay liye zahr e qaatil hay.

v  Jab kay achhon ki suhbat mayn dunya o aakhirat ki behtari hay.

v  Walidayn ki zimmah dari hay kay apni aulad ko achhi suhbat faraham karen.

v  Walidayn ko chahiye kay wo apni aulad ko buri suhbat kay nuqsanaat say aagah karay.

v  Nayk logon ki suhbat ki barakat say insan to insan janwar bhi mahroom nahyn rehtay.

Allah عَزَّوَجَلَّ apnay nayk bandon kay sadqay hamen bhi achhi suhbat naseeb farmaye aur buri suhbat say bachtay huye dosri islami behnon ko bachanay ki sa’adat naseeb farmaye.

اٰمِــيْن بِـجَـاهِ الـنَّـبِـیِّ الْاَمِــيْن صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Meethi meethi islami behno! bayan ko ikhtitam ki taraf latay huye Sunnat ki fazeelat aur chand Sunnaten aur Aadab bayan karnay ki Sa’aadat haasil karta