Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

aur apna faaidah daykhnay kay ba’d hi koi qadam uthati hayn magar kisi ki suhbat ikhtiyar kartay waqt is baat ka zara bhi khayal nahyn karten kay wo hamaray haq mayn faaiday mand saabit ho gi bhi ya nahyn. Bahar haal kisi ko dost bananay say pahlay 112 martabah ghor kar layna zarori hay ta kay ba’d mayn kisi qisam ka pachtawa na ho, Piyaray Aaqa, Makki Madani Mustafa
 
صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka farman e ibrat nishan hay. اَلْمَرْءُ عَلَى دِينِ خَلِيْلِهِ فَلْيَنْظُرْ اَحَدُكُمْ مَنْ يُخَالِطُ  ya’ni aadmi apnay dost kay Deen par hota hay usay ye daykhna chahiye kay kis say dosti karta hay. (Musnad e Imam Ahmad, jild. 3, pp. 167, Hadees 8034)

Hakeem ul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn: kisi say dosti karnay say pahlay usay janch lo ka Allah عَزَّوَجَلَّ aur Rasoo ul Allah صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka mutee’( ya’ni farma bardar) hay aya nahyn, Rab  عَزَّوَجَلَّ fermata hay:

وَ كُوْنُوْا مَعَ الصّٰدِقِیْنَ(۱۱۹)

Tarjamah: aur sachhon kay sath ho.

(Parah. 11, Taubah, Aayat. 119)

Sofiya  رَحِمَهُمُ الـلّٰـهُ تَـعَالٰی farmatay hayn kay insani tabe’at mayn اَخْذ ya’ni lanay ki khasiyyat pai jati hay. harees ki suhbat say hirs, zaahid ki suhbat say zuhd o taqwa mila ga.

(Miraa tul Manajeeh, jild. 6, pp. 599)

Meethi meethi islami behno! hamayn bhi chahiye kay dosti kay mu’amlay mayn har kisi par andha i’etimaad na Karen aur na hi un ki suhbat mayn bethen kay jin ka daaman pahlay hi mukhtalif qisam ki burayon say daagh dar ho, kion kay tarah tarah ki burayon mayn mubtala rehnay waliyon par jab bura waqt aata hay to un say ta’alluqaat rakhnay waliyan bhi basa auqaat lapayt mayn aa jati hayn. aye! Is baat ko samajhnay kay liye ayk hikayat sunti hayn. chunachay

Chohay aur mayndak ki dosti

Shaikh e Tareeqat, Ameer e Ahl e Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ apni maya naaz tasneef “Nayki ki dawat” kay safha number 381 par farmatay hayn kay ‘Aarif billah Hazrat Maulana Rom رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه buri suhbat ka nuqsan samjhatay huye irshad farmatay hayn: ittifaqan nadi kay kinaray par ayk chohay ki mayndak