Book Name:Buri Sohabat Ka Wabal

khamoshi behtar hay.(Miraat ul Manaheeh, jild. 6, pp. 464) (11)Kisi say jab baat cheet ki jaye to is ka koi saheeh Maqsad bhi hona chahiye aur hamayshah mukhatab kay zarf aur is ki nafsiyyaat kay mutabiq baat ki jaye (12) bad zabani aur bay hayai ki baton say har waqt parhayz kejiye, gali galoch say ijtinab kartay rahye aur yaad rakhye kay kisi musalman ko bila ijazat e Shar’i gali dena haram e qata’i ha. (Razawiyyah, jild. 21, pp. 127)  aur bay hayai ki baat karnay walay par Jannat haram hay. Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم nay farmay:” us shakhs par Jannat haram hay jo fuhash goi(bay hayai ki baat) say kaam layta hay. (Kitab ul Sumt, jild. 7, pp. 204, raqam. 325) baat cheet karnay ki tafseeli maloomat haasil karnay aur degar saynkaron Sunnten seekhnay kay liye Maktaba tul Madinah ki matbo’ah 120 safahat ki Kitab “Sunnaten aur Aadab” hadyatan haasil kejiye aur parhye. Sunnaton ki tarbiyyat ka ayk behtreen zaree’ah Dawat e Islami kay Madani qaafilon mayn aashiqan e Rasool kay sath Sunnaton bhara safar bhi hay.

Seekhnay Sunnaten Qafilay mayn chalo

 lotnay rehmaten Qafilay mayn chalo

hon gi hal mushkilen Qafilay mayn chalo

 pao gay barkaten Qafilay mayn chalo