Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

apnay Karobar band kar daytay hayn, sayr o tafreeh o shikar ko jatay hayn, pooriyan pakti hayn aur nahatay dhotay khushiyan manatay hayn aur kahtay hayn kay Huzoor Aqdas صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم nay is roz Ghusl e Sehhat farmaya tha aur bayron e Madinah Taybah sayr kay liye tashreef lay gaye thay. Ye sab baatayn bay asal hayn, balkay in dino may Huzoor Akram صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka marz shiddat kay sath tha, wo batayn khilaf e waqi’ (jhooti) hayn aur ba’az log ye kahtay hayn kay is roz balaen aati hayn aur tarah tarah ki baaten bayan ki jati hayn sab bay subot hayn, balkay hadees ka ye Irshad: لاصفر  ya’ni Safar koi chez nahyn.(Bukhari, jild. 4, pp. 36, Hadees 5757) aysi tamam khurafaat ko rad karta hay. (Bahar e Sharee’at, jild. 3, pp. 659)

8 Madani kaamon mayn say ayk Madani kaam” Madrasa tul Madinah (Balighat)’

Meethi meethi islami behno! ma’loom huwa kay Safar ul Muzaffar say mut’alliq ‘awaam may phayli huyi ghalat fahmiyon ka haqeeqat say dor dor tak koi ta’alluq nahin balkay ye mahaz wahmi khayalat aur ‘ilm e Deen say dori ka nateejah hay. lihaza Musalman honay kay natay hamayn chahiye kay ham is tarah kay wahmi khayalat say apnay ap ko door rakhen aur Dawat e Islami kay Madani mahool say wabastah ho kar Zayli halqay kay 8 madani kaamon may khoob khoob hissah layn kyun kay is Madani mahool may tawahhum parasti aur badshugoni say bachnay aur is kay ‘ilaj ka bharpoor zehan dia jata hay. Zayli halqay kay 8 “Madani kaamon may say ayk Madani kaam “Madrasah tul Madinah (Balighat)” bhi hay. fi Zayli Halqah kam az kam aik Madras tul Madinah (Balighat) ka ihtimam ki jiye Madrasa tum Madinah may perhnay walion ka hadaf kama az kam 12 islami behnayn hayn, (doraniyah ziyadah say ziyadah 1 ghantah 12 minute) subh 8:00  ta aazan e ‘asr tak kisi bhi waqt(ba pardah jagah may) Tarkeeb ki ja sakti hay, durust Quran paak parhna sikhanay kay sath sath Ghusl, Wuzu, Namaz, Sunnatayn, du’aen neez auraton kay shar’i masaail waghayrah zabani nahin balkay Maktaba tul Madinah say shai’ kardah Kitab”Islami behnon ki namaz” say daykh daykh kar sikhaye, Madrasah tul Madinah (Balighat)”Madani pholon kay mutabiq lagaye, اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ Madrasah tul Madinah (Balighat) bhi ‘ilm e Deen seekhnay, sikhanay ka nihayat muassir zaree’ah hay aur Deen ki baatayn seekhnay ki fazeelat kay baray mayn manqool hay kay Allah عَزَّوَجَلَّ nay Hazrat Sayyiduna Musa Kaleemullah عَـلَيْـهِ الـسَّـلاَم ki taraf wahi farmai: bhalai ki baatayn khud bhi seekho aur dosron ko bhi sikhao, Mayn bhalai seekhnay aur sikhanay walon ki qabron ko roshan farmaon ga ta kay in ko kisi qisam ki wahshat na ho. (Hilya tul Awlia, jild. 5, pp. 6, Hadees 7622)

targheeb kay liye Madrasah tul Madinah (Balighat) ki ayk Madani bahar sunye aur jhomye. Chunachay

“Madrasah tul Madinah (Balighat)” may shirkat ki hami bharli

Ayk Islami behan ki zindagi Dawat e Islami kay Madani mahool say wabastah honay say pahlay gunahaun may basar ho rahi thi magar jab usay inhayn Dawat e Islami ka pakeezah Madani mahool mila in ki zindagi khurafaat say paak hi gai aur wo naykiyon bhari zindagi basar karnay lagayn, in ki zindagi may Madani inqilab yon barpa huwa kay in kay ‘ilaqay may Dawat e Islami kay tahat ”Madarasah tul Madinah (Balighat)” ka aaghaz huwa to Dawat e Islami ki ayk Islami behan nay bari mahabbat say infiradi Koshish kartay huye inhen Tajweed kay sath Quran e Paak perhnay kay Fazaail aur bila Tajweed Quran e Paak perhnay ki wa’eeden sunatay huye saheeh talaffuz kay sath Quran e Paak perhnay ki dawat di. Islami behan ka andaz aysa mutaassir kun tha kay un say inkar na ho saka aur unhon nay ”Madrasah tul Madinah (Balighat)” may shirkat ki hami bhar li, pahlay roz jab