Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

asbab par ghor kejiye aur foran ‘ilaaj shuro kar dejiye! Badshugoni kay asbab aur un kay ‘ilaaj kay mutalliq sunye. Chunachay

Badshugoni kay 6 asbab aur un ka ‘ilaaj

1)      Bad shugoni ka pahla sabab islami ‘aqaaid say la ‘ilmi hay. Is ka ‘ilaaj ye hay kay taqdeer par in ma’non may e’itiqaad rakha jaye kay har bhalai, burai Allah عَزَّوَجَلَّ nay apnay ‘ilm azali kay muwafiq muqaddar farma di hay, jaysa honay wala tha aur jo jaysa karnay wala tha apnay ‘ilm say jana aur wahi likh dia. to bad shugoni dil mayn jaga hi nahin bana sakay gi kiun kay jab bhi insan ko koi nuqsan pohchay ga to wo ye zehan bana lay ga kay ye mari taqdeer may likha tha na kay kisi chez ki nahosat ki wajah say aysa huwa hay.

2)      Bad shugoni ka dosra sabab tawakkul ya’ni Allah عَزَّوَجَلَّ par bharosa karnay ki kami hay. Is ka ilaj ye hay kay jab bhi koi badshugoni dil may khatkay to Rab عَزَّوَجَلَّ par tawakkul kejiye. اِنْ شَــآءَالـلّٰـه عَزَّوَجَلَّ bad shugoni ka khayal dil say jata rahay ga.

3)      Bad shugoni ka tesra sabab bad faali ki wajah say kaam say ruk jana hay. Is ka ilaj ye hay kay jab kisi kaam may bad faali niklay to usay kar guzarye aur apnay dil may is kay khayal ko jaga mat dejiye kay is bad faali kay sabab mujhay is kaam may koi khasarah waghayrah hoga.

4)      Badshugoni ka chotha sabab is ki halakat khayzyon aur nuqsanaat say bay khabari hay kay jab ham kisi chez kay nuqsan say hi ba-khabar nahin hongi to is say bachen gi kasay? Is ka ilaj ye kay bad shugoni ki halakat khayzyon aur nuqsanaat ko parha jaye, un par ghaur kartay huye un say bachnay ki koshish bhi ki jaye.

5)      Badshugoni ka panchwan sabab roz marrah kay ma’molaat may wazaaif shaamil na hona hay. Is ka ilaj A’la Hazrat, Imam e Ahl e Sunnat, Maulana Shah Imam Ahmad Raza Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kuch yon irshad farmatay hayn: is qisam (ya’ni bad shugoni waghayrah) kay khatray waswasay jab khabi payda hon un kay wastay Quran kareem o Hadees shareef say chand mukhtasar o bay shumar naaf’i( faaidah denay wali) du’en likhta hon inhen ayk ayk baar khuwah zaaid( yani ayk say ziayadah marataba) ap aur ap kay ghar walay parh layn. Agar dil pukhtah ho jaye aur wo waham jata rahay to behtar warna jab woh waswasah payda ho ayk ayk daf’ah parh lejiye aur yaqeen kejiye kay Allah عَزَّوَجَلَّ aur Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kay wa’day sachhay hayn aur shaytan mal’oon ka darana jhota. Chand baar may بِعَوْنِہٖ تَعَالٰی (ya’ni Allah عَزَّوَجَلَّ ki madad say) wo waham bilkul zaail (yani khatam) ho jaye gay aur aslan(bilkul) kabhi kisi tarah is say koi nuqsan na pohchay ga. wo du’en ye hayn.

حَسْبُنَا اللہُ وَ نِعْمَ الْوَكِیْلُ

Tarjama e Kanz ul Iman: Allah عَزَّوَجَلَّ ham ko bas hay aur kia achha karsaz.

(para. 4 sorah. Aal e Imran, Aayat. 173)

اَللّٰھُمَّ لَا طَیْرَ اِلَّا طَیْرُکَ وَلَا خَیْرَ اِلَّا خَیْرُکَ وَلَا اِلٰہَ غَیْرُکَ

Yani: ay Allah عَزَّوَجَلَّ tari faal faal hay aur tari hi khayr khayr hay aur taray siwa koi ma’bood nahyn.

(Batini Bimariyon ma’lomaat, pp. 289)