Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

صَـلُّوا عَلَى الْـحَـبِيْب                                                                                                                 صَـلَّى الـلّٰـهُ تَـعَـالٰى عَـلٰى مُـحَـمَّد

Asal nahosat to gunahaun may hay

Meethi meethi islami behno! yaad Rakhiye! Koi waqt barakat wala aur ‘azamat o fazeelat wala to ho sakta hay jaysay Maah-e-Ramazan, Rabi’ ul Awwal, Jumu’ah-tul-Mubarak waghayrah magar koi maheena ya din manhos nahin ho sakta. Jaysa kay mashhor Mufassir-e-Quran, Hakeem-ul-Ummat Mufti Ahmad Yar Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn: islam may koi din ya koi sa’at manhos nahin haan ba’z din ba barakat hayn. (Mirat ul Manajeeh,  jild. 5, pp. 484)

اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ Safar ul Muzaffar bhi deegar maheenon ki tarah ayk ba barakat maheenah hay. Jis tarah deegar maheenon may Rab عَزَّوَجَلَّ kay fazl o karam ki barishayn hoti hay isi tarah is may bhi ho sakti hayn balkay usay to Safar ul Muzaffar ya’ni kamyabi ka maheenah kaha jata hay,

Æ  اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ isi mu’azaz maheenay may Hazrat Sayyiduna ‘Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالٰی عَـنْهُ aur Khatoon e Jannat Hazrat Sayyidatuna Fatimah Zahra رَضِیَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهَا ki shadi khanah aabadi huyi. (Al Kamil, jild. 2, pp.12)

Æ  Safar ul Muzaffar may Musalmano ko fath e khaybar naseeb huyi. (Al Bidayah wa Nihayah, jild. 3, pp. 392)

Æ  Sayf ul Allah Hazrat Sayyiduna Khalid bin Waleed, Hazrat Sayyiduna Amr bin ‘Aas aur Hazrat Sayyiduna Usman bin Talha رَضِیَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهُم nay Safar ul Muzaffar 8 Hijri may Bargah e Risalat may hazir ho kar Islam qabool kia. (Al kamil, jild. 2, pp.109)

Æ  “Madaain” (jis mayn Kisra ka mahal tha) ki fatah 16 hijri Safar ul Muzaffar kay maheenay may huyi.

(Al Kamil, jild. 2, pp.357)

Magar afsos kay jasay hi Safar ul Muzaffar kay pur bahar aur ba barakat maheenay ki aamad hoti hay to nahosat kay wahmi tasawwuraat kay shikar ba’z nadano ki janib say is pakeezah maheenay say mut’alliq tarah tarah ki ghalat fahmiyon par mushtamil payghamat phailaye jatay hayn aur is maah(month) ko intihai manhos tasawwur kia jata hay kay is maheenay may aafaton aur balaon ka nuzool hota hay, lihaza kabuli chano ki Niyaz dilai jati hay ya phir aatay ki goliyan bana kar samundar may dalwaya jata hay bil khusoos is maah kay aakhiri budh ko to bahut hi ziyadah manhoos Tasawwur kia jata hay. Aaiye! Is maheenay kay baray may phayli huyi ghalat fahmiyon mulahizah hon. Chunachay

Mufti Amjad ‘Ali A‘zami رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn: Maah e Safar ko log manhos jantay hayn is may shadi biyah nahin kartay larkiyon ko rukhsat nahin kartay aur bhi is qisam kay kaam karnay say parhayz kartay hayn aur Safar karnay say gurayz kartay hayn, khusosan Maah e Safar ki ibtidai 13 tareekhen bahut ziyadah nahas mani jati hayn aur un ko tayrah tayzi kahtay hayn ye sab jahalat ki baatayn hayn. Hadees may farmaya kay “ Safar koi chez nahyn”. (Bukhari, jild. 4, pp. 36, Haees 5757) ya’ni logon ka isay manhos samajhna ghalat hay. isi tarah Zul Qa’dah kay maheenay ko bhi bahut log bura jantay hayn aur is ko khali ka maheenah kahtay hayn ye bhi ghalat hay aur har maah may 3, 13,  23, 8, 18, 28 ko bhi manhos jantay hayn ye bhi Laghwiyat hay. (Mufti sahib mazeed farmatay hayn kay) Maah e Safar ka aakhir chahar shambah(budh ka din) Hindustan may bahut manaya jata hay, log