Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ وَ الصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ علٰی سَیِّدِ الْمُرْسَلِیْنَ ط

اَمَّا بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللّٰہِ مِنَ الشَّیْطٰنِ الرَّجِیْمِ ط  بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّ حِیْم ط

اَلصَّلٰوۃُ وَ السَّلَامُ عَلَیْكَ یَا رَسُولَ اللہ                                                                                         وَعَلٰی اٰلِكَ وَ اَصْحٰبِكَ یَا حَبِیْبَ اللہ

اَلصَّلٰوۃُ وَ السَّلَامُ عَلَیْكَ یَا نَبِیَّ اللہ                                                       وَعَلٰی اٰلِكَ وَ اَصْحٰبِكَ یَا نُوْرَ اللہ

Durood Shareef ki fazeelat

Mahboob-e-Khuda-e-Tawwab, Nubuwwat kay Aaftab, Janab-e-Risaalat Ma`ab صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka farman-e-khushgawar hay: bay shak Allah عَزَّوَجَلَّ nay ayk firishtah mayri qabr par muqarar farmaya hay jisay tamam makhlooq ki aawazayn sunnay ki taqat di hay, pas qayamat tak jo koi mujh par Durood paak parhta hay to wo mujhay is ka aur is kay baap ka naam paysh karta hay, kahta hay: fulan bin fulan nay ap par is waqt Durood paak parha hay.(Musnad-e-bazzar,  jild. 4, pp. 255, Hadees 1425)

Girnay ko ho rauk lo ghautah lagay haath do

Ayso pay aysi ‘ata tum pay karoron Durood

صَـلُّوا عَلَى الْـحَـبِيْب                                                       صَـلَّى الـلّٰـهُ تَـعَـالٰى عَـلٰى مُـحَـمَّد

Meethi meethi Islami behno! husool e sawab ki khaatir bayan sunnay say pehlay  achchi  achchi niyyatayn kerlijiye. Farman e Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم 

نِـيَّةُ الْمُؤْمِنِ خَـیـْرٌ مِّـنْ عَمَلِهٖ

Musalman ki niyyat is kay amal say behtar hay.

Do Madani phool

1.       Baghayer achchi niyyat kay kisi bhi amal khayr ka sawab nahi milta.

2.       Jitni achchi niyyatayn Ziyada, utna sawab bhi Ziyada.

Bayan sunnay ki niyyatayn

1.       Nigahayn neechi kiye khoob kaan laga ker bayan suno gi.

2.       Tayk laga ker bethnay kay bajay ilm e din ki ta’zeem ki khaatir jahan tak ho saka do zaanon bethoon gi.