Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

wo Madrasay gaye to wahan ki ta’leem o tarbiyyat ka nirala andaz daykh kar un kay dil ko bahut khushi haasil huyi madrasay may chhoti si library bhi qaaim ki gaye thi jis may Sheikh e Tareeqat, Ameer e Ahl e Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ ki ta`leefat, rasaail aur bayanat ki cassettes maujod thi, unho nay mu’allimah Islami behan ki ijazat say chand rasaail liye aur ghar ja kar un ka mutala’ah shuro kar dia, sab say pahlay ayk risaalah ba naam “Ameer e Ahl e Sunnat ki operation ki Jhalkiyan” parha jis may operation kay waqt aap kay khauf e Khuda, ‘Ishq e Mustafa, Iman ki salamti ki fikr aur apnay mureedeen, muta’alliqeen, aur Ummat e Muslimah kay liye maghfirat ki du’aon ki ma’loomat nayz aysi naazuk haalat mayn bhi qawaneen e shari’at ki mukammal pasdari kay waaqi’at nay un kay dil ki dunya ko taho bala kardia un ka Iman tazah ho gya, yon Madrasah tul Madinah (Balighat) may shirkat ki barakat say wo Madani Mahool kay qareeb hoti chali gaye aur ab wahi islami behan ‘alaqai mushawarat ki zimmah dar ki haysiyat say Sunnataun ki khidmat may masroof hayn.

صَـلُّوا عَلَى الْـحَـبِيْب                                                                                                                 صَـلَّى الـلّٰـهُ تَـعَـالٰى عَـلٰى مُـحَـمَّد

Meethi meethi islami behno! waham ayk aysi beemari hay kay jo insan ka sukh chain sab chhen layti hay aur is ki ‘aqal ki salahiyaton ko zaai’ kar dayti hay, jo log waham ki aafat may phans jatay hayn to yon mahsoos hota hay kay jaysay un kay liye shakhsiyat, jaghayn, auqaat, ‘alamatayn, tareekhen, ayyaam ratayn, maheenay ya saal waghayrah kuch bhi bai’s e sa’adat nahin balky woh apnay ‘ilawah har chez ko apnay haq may bila wajah manhos khayal kar kay badshugoni laytay aur apnay opar mukhtalif buraiyon kay darwazay kholtay hayn masalan:

Bad shugoni ki soraten

r Kabhi andhay, langray, ayk aankh walay aur ma’zor logon say to kabhi kisi khas parinday ya janwar ko daykh kar ya is ki aawaz sun kar bad shugoni ka shikar ho jatay hayn.

r Kabhi kisi waqt ya din ya maheenay say bad faali laytay hayn.

r Koi kaam karnay ka iradah kia aur kisi nay tareeqah kar mayn nuqsan ki nishandahi kar di ya is kaam say ruk janay ka kaha to is say bad shugoni laytay hayn kay ab tum nay taang aradi hay to ye kaam nahin ho sakay ga

r Kabhi Ambulance ki aawaz say to kabhi fire brigade ki aawaz say bad shugoni may mubtala hotay hayn.

r Kabhi akhbaraat may shaai’ honay walay sitaron kay khayl say apni zindagi ko ghamgeen o ranjeedah kar laytay hayn.

r Kabhi mahman ki rukhsati kay ba’d ghar may jharo daynay ko manhos khayal kartay hayn.

r Kabhi jota utartay waqt jotay par jota aanay say bad shugoni laytay hayn.

r Seedhi aankh pharkay to yaqeen kar laytay hayn kay koi museebat aye gi.

r Eid Jumu’ah kay din ho jaye to usay hukomat e waqt par bhari samajhtay hayn.

r Kabhi billi (Cat) kay ronay ko manhos samjhtay hay to kabhi raat kay waqt kuttay kay ronay ko.