Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

Shugon kisay kahtay hayn?

Shugon ka ma’na hay faal layna ya’ni kisi chez, shakhs, ‘amal, aawaz ya waqt ko apnay haq may achha ya bura samajhna. Is ki bunyadi tor apr do qismayn hayn

Æ  Bura shugon layna,

Æ  Achha shugon layna.

‘Aallamah Muhammad bin Ahmad Ansari Qurtubi رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه Tafseer-e-Qurtubi may naql kartay hayn: achha shugon ye hay jus kaam ka iradah kia ho us kay baray mayn koi kalam sun kar Daleel pakarna, ye us waqt hay jab kalam achha ho, agar bura ho to badshugoni hay. Shari’at nay is baat ka hokum dia hay kay insan achha shugon lay kar khush ho aur apna kaam paya e takmeel tak pohanchaye aur jab bura kalam sunay to is ki taraf tawajjuh na karay aur na hi is kay sabab apnay kaam say rukay.(Tafseer-e-Qurtubi, parah 26, Ahqaaf, Taht al Aayah. 4, vol. 8, pp. 132)

Achhay aur buray shugon may farq

Meethi meethi islami behno! badshugoni aur achhay shugon may farq (difference) bhi jan lejiye. Chunachay in donon mayn bunyadi farq ye hay kay badshugoni layna Shar’an mamnoo’ aur achha shugon layna Mustahab hay, is kay ‘ilawah

Æ  Achha shugon layna hamaray Madani Sarkar صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka tareeqah hay jab badshugoni ghayr muslimon ka shaywah hay.

Æ  Achha shugon laynay say Allah عَزَّوَجَلَّ kay raham o karam say achhai aur bhalai ki umeed hoti hay jab badshugoni say naumeedi payda hoti hay.

Æ  Nayk faal say dil ko itminan aur khushi haasil hoti hay jo har kaam ki jad o jahad aur talmeel kay liye zarori hay jabkay badshugoni say bila wajah ranj o taraddud payda hota hay

Æ  Nayk faali insan ko kamyabi, harakat aur taraqqi ki taraf lay jati hay jabkay bad shugoni say mayosi, susti aur kahili payda hoti hay jo tanazzuli ki taraf lay jati hay. Mira-tul-Manajeeh may hay: nayk faal layna Sunnat hay is may Allah عَزَّوَجَلَّ say umeed hay aur badfaali layna mamnoo’ hay kay is mayn Rab عَزَّوَجَلَّ say na umeedi hay. Umeed achhi hay Na umeedi buri, hamayshah Rab عَزَّوَجَلَّ say umeed rakho. (Mirat-ul-Manajeeh, jild. 6, pp. 255)

Bad shugoni Mushrikeen ki purani rasam hay

Meethi meethi islami behno! ghayr muslimon may mukhtalif cheezon say bura shugon laynay ki rasm purani hay aur un kay to ham parast log har chez say asar qabool kar laytay hayn. Masalan koi shakhs kisi kaam ko nikalta aur rastay may koi janwar samnay say guzar jata ya kisi makhsos parinday ki aawaz kaan may par jati to foran ghar wapis aata, isi tarah kisi kay aanay ko, ba’z dino aur maheeno ko manhos samajhna un kay haan mashhor tha. Isi tarah kay tasawwurat aur khayalat hamaray mu’ashary may bhi bahut phalay huway hayn. Islam is tarah ki tawahhum parasti ki har giz ijazat nahin dayta aur Islam nay jahan degar fuzol rasmon ki jaren khatam ki  wahi is buri rasm ka bhi khatimah kar dia.(Siraat-ul-Jinan, jild. 3, pp. 412)