Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

Meethi meethi islami behno! ham may say jo bhi is tarah ki bad shugoniyon ka shikar hay to usay chahiye kay samajhdari ka muzahirah kartay huye foran is marz say peecha churaye kion kay bad shugoni ki tabah kariyan is qadar ziyadah hayn kay الامان والحفیظ. Aaiye! ‘ibrat kay liye bad shugoni ki chand tabahkariyon say mutalliq sunye. Chunachay

Badshugoni ki tabah kariyan

Dawat e Islami kay isha’ati idaray Maktaba tul Madinah ki kitab “Badshugoni” mayn hay kay

r badshugoni ka shikar honay walon ka Allah عَزَّوَجَلَّ par e’itimad aur tawakkul kamzor ho jata hay,

r Allah عَزَّوَجَلَّ kay baray may badgumani payda hoti hay,

r Taqdeer par Iman kamzor honay lagta hay.

r Shaytani waswason ka darwazah khulta hay,

r Badfaali say aadmi kay andar tawahhum parasti, buzdili, dar aur khauf, past himmati aur tang dili payda hoti hay,

r Nakaami ki bahut si wujuhaat ho sakti hayn masalan kaam karnay ka tareeqah durust na hona, ghalat waqt aur ghalat jaga par kaam karna aur na tajribah kari laykin bad shugoni ka ‘aadi shakhs apni nakaami ka sabab nahosat ko qarar denay ki wajah say apni islah say mahroom rah jata hay.

r Badshugoni ki wajah say agar rishtay natay toray jayen to aapas ki na chaqiyan janam layti hayn.

r Jo log apnay opar badfaai ka darwazah khol laytay hayn unhen har chez manhos nazar aanay lagti hay.

Kitab “bad shugoni” ka Ta’aaruf

Meethi meethi islami behno! Bad shugoni kay mutalliq ma’loomat haasil karnay aur is mozi marz say chhutkara panay kay liye Maktabah tul Madinah ki kitab “Bad shugoni” ka mutala’ah kejiye. Is kitab may shugon ki qismayn, achhay buray shugon ki misalen, bad shugoni ki mukhtalif sortayn, bad shugoni kay nuqsaanat, faal kholnay aur is ki ujrat aur is ki ujrat ka hukm, istikharah karnay kay tareeqay, du’aen aur faaiday, maah e Safar may paysh aanay walay chand tareekhi waaqi’at, khayton ko nazar bad say bachanayn ka nuskhah, muye Mubarak ki barakatayn, badshugoni aur achhay shugon mayn farq, sabaq aamoz hikayaat o waaqi’at aur degar kai madani pholon ko bayan kia gaya hay, lihaza aaj hi is kitab ko Maktabah tul Madinah say hadiyyatan talab farmaye, khud bhi is ka mutala’ah kejiye aur dosri islami behno ko bhi is ki targheeb dilaye, Allah عَزَّوَجَلَّ tofeeq day to zahay naseeb! Ziyada say Ziyada ta’dad mayn haasil farma kar taqseem kejiye. Dawat e Islami ki web site www.dawateislami.net say is kitab ko parha bhi ja sakta hay, download bhi kia ja sakta hay aur print out bhi kia ja sakta hay.

Meethi meethi islami behno! yaad Rakhiye kay waham aur bad shugoni agarchay bay had muhlik amraaz hayn magar aysay amraaz bhi nahin kay jo la ‘ilaaj hon aur jin say peecha churwana intihai dushwar ho lihaza mayos ho kar shaytan ko maqa’ daynay kay bajaye Allah عَزَّوَجَلَّ ki zaat aur is ki rehmat par bharosah kartay huye in kay