Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

1)      Badshugoni ka chhata sabab nayk shugon ikhtiyar na karna ya nayk shugon ikhtiyar karnay may tawajjuh na dayna aur is ki bunyadi ma’lomaat ka na hona bhi hay. Bura shugon lay kar is par ‘amal karnay say chunkay Shari’at mana’ farmati hay aur nayk shugon layna Shar’an mustahab hay. To buray shugon say bachnay kay liye nayk shugon laynay ki ‘aadat banai jaye.

Majlis e A`aimma e Masaajid

 Meethi meethi islami behno! bad shugoni kay asbab ki pahchan aur un kay ilaj ka ayk behtareen zaree’ah ye bhi hay kay ham kisi achhay mahool say wabastah ho kar Deen e Mateen kay kaamon may mashgholiyat ikhtiyar kar kay is mozi marz ki kaat karen. اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ Dawat e Islami kay Madani Mahool may bad shugoni samayt kai buraiyon kay na sirf asbab ki taraf tawajjuh dilai jati hay balkay un kay ilaj kay tareeqon kay muta’alliq bhi Madani  phol diye jatay hayn lihaza ap bhi is Madani Mahool say wabastah ho kar khob khob barakatayn lotiye. اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ Dawat e Islami khidmat e Deen kay 104 say zaaid shu’bah jaat (departments) may nayki ki dawat ‘aam karnay may masroof e ‘amal hay, inhi may say ayk shu’bah “Majlis e Aimma e Masaajid” bhi hay kay jo masaajid ki aabadkari kay liye Aimma o Muazzineen ki taqarruri ka kaam sar anjam deti hay aur un ki khayr khuwahi kartay huye munaasib mushahiray bhi muqarrar karti hay, ta kay ye islami bhai mu’aashi parayshaniyon say aazad ho kar khob khob nayki ki dawat ‘aam kartay rahayn. Masaajid ko aabad karnay mayn aimmah o muazzineen ka aham kirdar hota hay. اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ Dawat e Islami kay Madani Mahool say wabastah aimmah kiraam, Saday-e-Madinah, Infiradi koshish kay zaree’ay namaz e ba-jama’at ki traf raghbat, Dars e Faizan e Sunnat, Namaz e Fajar kay ba’d Madani halqay mayn shirkat aur sunnataun ki tarbiyat kay liye Aashiqan Rasool kay Madani Qaafilon ki barakat say masjidon ko aabad rakhtay hayn. Allah عَزَّوَجَلَّ Majlis e Aimma e Masaajid ko mazeed taraqqiyan aur urooj naseeb farmaye.

اٰمِــيْن بِـجَـاهِ الـنَّـبِـیِّ الْاَمِــيْن صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Ho jayen Maula masjiden aabad sab ki sab

Sab ko namazi day bana ya Rab e Mustafa

Ahkaam e shara’a par mujhay day day ‘amal ka shauq

Paykar khulos ka bana ya Rab e Mustafa

صَـلُّوا عَلَى الْـحَـبِيْب                                                       صَـلَّى الـلّٰـهُ تَـعَـالٰى عَـلٰى مُـحَـمَّد

Umm e Attar ka zikr e khayr

 Meethi meethi islami behno! hamaray darmiyan safar ul muzaffar ka maheenah apni barakatayn luta raha hay is mayn Shaikh e Tareeqat, Ameer e Ahl e Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ ki waalidah maajidah رَحْمَۃُ اللّٰہ تَعَالٰی عَلَیْہا  kay wisal huwa tha isi munasabat say un ka zikr e khayr kia jata hay. Chunachay Ameer e Ahl e Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ ki waalidah maajidah رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْها ayk nayk aur parhayzgar khaton thi, unho nay shohar ki wafat kay ba-wujod sakht tareen mu’aashi aazmaishon may bhi apnay bachhon ki Islami khutot par tarbiyyat ki, jis ka munh bolta subot khud Ameer e Ahl e Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ ki zaat e Mubarakah hay. Ameer e Ahl e Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ nay ayk baar