Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

v  Bad shugoni layna shaytani kaam aur achha shugon layna mustahab kaam hay.

v  Bad shugoni ayk aalmi bimari hay, mukhtalif mumaalik may rehnay walay log mujhtalif chezon say bad shugoni laytay hayn.

v  Bad shugoni insan kay liye Deeni o Dunyawi i’etibaar say bay had khatarnak hay.

v  Maah e Safar ya is kay aakhiri budh ko manhos janna, sitaron kay asarat par yaqeen rakhna aur nujomiyon kay paas jana khilaf e Shara’ kaam hayn, haqeeqat say in ka koi ta’alluq nahyn.

v  Buzurgan e Deen sitaron ki taseer kay bilkul bhi qaail na thay lihaza ye Hazaraat jis kaam ka iradah farma laytay usay paya e takmeel tak pohncha kar hi dam laytay.

v  Aakhir mayn ham nay Umm e Attar ka zikr e khayr sunnay ki sa’adat haasil ki. Allah عَزَّوَجَلَّ Umm e Khayr kay tufayl hamen bad shugoni aur waham ki aafat say mahfooz farmaye.

اٰمِــيْن بِـجَـاهِ الـنَّـبِـیِّ الْاَمِــيْن صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم

Un ki Sunnat ka jo aanah dar hay

Bas wahi to jahan mayn samajhdar hay

 

Meethi meethi Islami behno bayan ko ikhtitam ki taraf laatay huway sunnat ki fazeelat, chand Sunnatayn aur aadab bayan bayan kernay ki sa’adat haasil kerti hoon. Tajdar e rislat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka farman e Jannat nishan hay: jis nay Meri sunnat say mahabbat ki us nay mujh say mahabbat ki aur jis nay mujh say mahabbat ki woh Jannat may Mere sath hoga

Jotay pahannay ki Sunnaten aur Aadab

 Meethi meethi islami behno! aaiye! Shaikh e Tareeqat, Ameer e Ahl e Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ kay risaalay” 101 Madani phool” say jotay pahennay ki Sunnaten aur Aadab suntay hayn: Farman e Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم 

ü  Jota bakasrat isti’maal karo kay aadmi jab tak jotay pahnay rehta hay goya wo suwar hota hay (yani kam thakta hay). (Muslim, pp. 894, Hadees 2096)

ü  Jotay pahennay say pahlay jhar lejiye takay keera ya kankar waghayrah ho to nikal jaye.

ü  Pahlay seedha jota pahenye phir ulta aur utartay waqt pahlay ulta jota utariye phir seedha. Farman e Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم: jab tum may say koi jotay pahnay to daen (ya’ni seedhi) jaanib say ibtida karni chahiye aur jab utaray to baen (yani ulti) jaanib say ibtida karni chahiye takay dayan (ya’ni seedha) paon pahennay may awwal aur utarnay may aakhiri rahay. (Bukhari, jild. 4, pp. 65, Hadees 5855)

ü  Mard mardanah aur aurat zananah jota isti’maal karay

ü  Kisi nay Hazrat Aaishah رَضِیَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهَا say kaha kay ayk aurat (mardon ki tarah) kay jotay pahenti hay. Unhon nay farmaya: Rasool ul Allah صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم nay mardani auraton par la’nat farmai hay.(Abu Dawood, jild. 4, pp. 84, Hadees 4099)