Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

bataya kay اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ waalidah muhtarma رَحْمَۃُ اللّٰہ تَعَالٰی عَلَیْہا  ka shuro hi say faraaiz o waajibat par ‘amal karnay aur karwanay ka is qadar zehan tha kay choti umar hi say ham behan bhaiyon ko namazon ki Talqeen (instruct) farmanay kay sath sakhti say ‘amal bhi karwaten, bilkhusos namaz e fajar kay liye ham sab ko lazmi uthati thi. waalidah maadidah رحمۃ اللّٰہ تَعَالٰی عَلَیْہا  ki is tarah Talqeen o tarbiyyat ki barakat say mujhay yaad nahin parta hay Meri bachpan mayn bhi koi namaz e fajar chhoti ho.

Sheikh e Tareeqat, Ameer e Ahl e Sunnat دَامَـتْ بَـرَكَـاتُـهُـمُ الْـعَـالِـيَـهْ farmatay hayn kay waalidah muhtarmah ka shab e jumu’ah (jum’arat aur jum’ah ki darmiyani shab) ko Metha dar (Baab ul Madinah Karachi) kay ilaqay may intiqaal huwa. Maut kay waqt mujhay bahut yaad kar rahi thi, hamsheerah nay bataya: اَلْـحَمْـدُ لـِلّٰـه عَزَّوَجَلَّ kalimah taiyyabah aur Istighfar perhnay kay ba’d zaban band huyi. Bilkhusos Ghusl denay kay ba’d chahra nihayat hi roshan ho gaya tha. Jis hissah zameen par roh qabz huyi, is say kai roz tak khushbu aati rahi aur khusosan raat kay jis hissay may intiqaal huwa tha is may tarah tarah ki khushbuen aati rahi. Soyam walay din subh kay waqt chand gulab kay phol la kar rakhay thay jo sham tak taqreeban tar o tazah rahay jo Mayn nay apnay hath say apni waalidah ki qabar par charhaye. Yaqeen janen un may aysi ‘ajeeb bheni bheni khushbu thi kay Mayn hayraan rah gaya, kabhi gulab kay pholon may, Myan nay aysi khushbu nahin songhi thi na abhi tak songhi hay balkay ghanton tak wo khushbu maray hathon say bhi aati rahi. (Tazkira e Ameer e Ahl e Sunnat, qist. 2, pp. 41)

Jaben mayli nahin hoti dahan mayla nahin hota

Ghaulaman e Muhammad ka kafan mayla nahin hota

سُـبْحٰـنَ الـلّٰــه عَزَّوَجَلَّ ! waqai Umm e Attar رَحْمَۃُ اللّٰہ تَعَالٰی عَلَیْہا  koi ‘aam khaton na thi balkay Allah عَزَّوَجَلَّ ki muqarrab, saabirah o shaakirah aur ba-himmat khaton thi kay jo aazmaish ki ghari may saabit qadam rehtay huye bhi apni aulad ki Sunnaton kay mutaabiq tarbiyat mayn mashghol rahen, jo namazon aur Sunnaton ki khud bhi paband thi aur apnay bachhon ko bhi namaz parhnay ki talqeen farmaya karti then, shayad un ki yahi ada Rab عَزَّوَجَلَّ ko pasand aagai, lihaza dunya say apna Iman salamat lay kar chali gaye, ba’d wisaal chahra bhi jagmaga uthha aur jis jaga wisaal huwa wo jaga bhi bheni bheni khushbu say mushkbaar ho gaye, agar hamari islami behnen bhi Umm e Attar kay kirdar ko apnatay huye nafs o shaytan ki mukhalifat karen aur apnay zaahir o baatin ko zaywar e Sharee’at sa aaraastah karen, faraaiz o waajibat ki pabandi ko apna orhna bichona banalayn, jis tarah ye bachhon kay School ya tution janay ka naghah nahin honay dayti agar isi tarah namazon waghayrah kay mu’amlaat aur zarori deni ta’leemat kay liye bhi koshish karen to is kay dunya may bhi kaseer fawaaid haasil hon gay aur aakhirat may bhi barakaten naseeb hon gi.

صَـلُّوا عَلَى الْـحَـبِيْب                                                                                                                 صَـلَّى الـلّٰـهُ تَـعَـالٰى عَـلٰى مُـحَـمَّد

Bayan ka khulasah

 Meethi meethi islami behno! aaj kay is haftahwar Sunnaton bharay ijtimaa’ may ham nay waham aur bad shugoni kay hawalay say jo bayan sunnay ki sa’adat haasil ki is say hamen chand Madani phool haasil huye masalan

v  Kisi shakhs, jaga, chez, maheenah, saal, waqt, ya tareekh ko manhos jannay ka islam may koi tasawwur nahin kion kay asal nahosat to gunahon may hay.