Book Name:Waham Aur Bad Shuguni

r Pahla gahak soda liye baghayr chala jaye to dukandar is say bad shugoni layta hay.

r Nai nawayli dulhan kay ghar aanay par khandan ka koi shakhs faut ho jaye ya kisi aurat ki sirf baytiyan hi payda hoon to is par manhos honay ka label lag jata hay.

r Haamilah aurat ko mayyit kay qareeb nahin aanay daytay kay bachhay par buara asar paray ga.

r Jawani may baywah ho janay wali aurat ko manhos jantay hayn,

r Khali qaynchi chalanay say ghar may larai hoti hay.

r Kisi ka kangha ist’imaal karnay say donon may jhagra hota hay.

r Khali bartan ya chammach aapas may takranay say ghar may larai jhagra hota hay.

r Jab badalon may bijli karak rahi ho aur sab say bara bachha baahir niklay to bijli is par gir jaye gi.

r Bachhay kay daant ultay niklayn to nanhiyaal (maamo waghayrah) par bhari hotay hayn,

r Chota bachha kisi ki tang kay neechay say guzar jaye to bachhay ka qad chota rah jata hay.

r Bacha soya huwa ho us kay opper say koi phalang kar guzar jaye to bachay ka qad chhota rah jata hay

r Maghrib kay ba’d darwazay may nahin baythna chahiye kion kay balaeen guzar rahi hoti hayn.

r Zalzalay kay waqt bhagtay huye jo zameen par gir gaya wo gonga ho jaye ga.

r Raat ko aainah dekhnay say chahray par jhuryan parti hayn.

r Ungliyan chatkhanay say nahosat aati hay.

r Soraj girhen kay waqt haamilah aurat chhurri say koi chez na katay kay bachha payda hoga to is ka haath ya paon kata ya chira huwa hoga.

r Nomolod (ya’ni bahut chotay bachhay) kay kapray dho kar nichoray nahin jatay kay is say bachhay kay jism mayn dard hoga.

r Kabhi numbers say bad faali laytay hayn (bilkhusos Europe mamaalik kay rahnay walay,) isi liye un ki bari bari ‘imarton mayn 13 number wali manzil nahin hoti(12 manzil kay ba’d wali manzil ko 14 manzil qarar daytay hayn), isi tarah un kay hospitals mayn 13 number wala bistar ya kamrah bhi nahin paya jata kion kay wo is number ko manhos samajhtay hayn.

r Maghrib ki azaan kay waqt tamam lights roshan ker dayn chahiye warnah balaye utarti hayn.

bayan kardah bad shugoniyon kay ‘ilawah bhi mukhtalif musharon, qomon, baradaryon may mukhtalif bad shugoniyan pai jati hayn. (Badghugoni, pp. 16 to 18)