You Can Also Visit Our Countries Website:
History

Exact Search

Listing 5000+ Islamic books in more than 30 languages. Read online or download in PDF.

Tazkira e Imam Ahmad Raza | Tazkirah e Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ

Ishq e Rasool

book_icon
Tazkirah e Imam Ahmad Raza Khan رحمۃ اللہ تعالیٰ علیہ

Ishq-e-Rasool ﷺ

Mayray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه Ishq-e-Mustafa
صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka sar-ta-paa numuna thay, Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ka na’tiya dewan ‘Hadaiq-e-Bakhshish Shareef’ is amar ka shahid hay. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki Nauq-e-Qalam balkay Gehra’e qalb say nikala huwa her misra’a Mustafa Jan-e-Rahmat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم say Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki bay-payan ‘Aqeedat-o-Mahabbat ki shahadat dayta hay. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay kabhi kisi dunyavi tajdar ki khushamad kay liye qaseedah nahin likha, is liye kay Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay Huzoor-e-Tajdar-e-Risalat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki ita’at-o-ghulami ko dil-o-jan say qabool ker liya tha. Aur us mayn martaba-e-kamaal ko puhnchay huway thay, is ka izhar Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay ayk shay’r mayn is tarah farmaya:
Unhayn jana unhayn mana na rakha gayr say kaam,
Lillah-il-Hamd mayn dunya say musalman gaya

Hukkam Ki Khushamad Say Ijtinab

Ayk martaba riyasat nan-parah (zila bahraich U.P Hind) kay nawab ki madah (ya’ni ta’reef) mayn shu’ra nay qasaid likhay. Kuch logon nay Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه say bhi guzarish ki kay Hazrat Aap bhi nawab sahib ki madah (ta’reef) mayn koi qaseedah likh dayn. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay us kay jawab mayn ayk na’t shareef likhi jis ka matla’e  ye hay:
Woh kamalay Husn-e-Huzoor hay kay Guman-e-naqs jahan nahayn
Yehi phool khar say door hay yehi sham’a hay kay dhuwan nahin
Mushkil alfaz ki ma’ani: Kamal=Pura hona Nuqs= Khami Khaar= Kanta
Sharh-e-Kalam-e-Raza: Mayray Aaqa Mahboob Rab-e-Zul-Jalal صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka husun-o-jamal daraja-e-kamal tak puhanchta hay ya’ni her tarah say kamil-o-mukammal hay is mayn koi khami hona to door ki baat hay, Khami ka tasawur tak nahin ho sakta, her phool ki shaakh mayn kantay hotay hayn magar Gulshan-e-Aminah ka ayk ye hi Mehakta phool
صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم aysa hay jo kanton say pak hay, her sham’a mayn ye ‘aayb hota hay kay woh dhuwan chhorti hay magar Aap Bazm-e-Risalat ki aysi roshan sham’a hayn kay dhuwan ya’ni her tarah kay ‘aayb say pak hayn. Aur makta’e  mayn ‘nan para’ ki bandish kitnay lateef isharay mayn ada kartay hayn:
Karon Madah-e-Ahl-e-Duwal Raza 
Paray is bala mayn mayri bala
Mayn gada hon apnay kareem ka 
Mayra deen ‘para-e-nan’ nahin
Mushkil Alfaaz ki Ma’ani: Madah=tareef duwal=dolat ki jam’a para nan= roti ka tukra
Sharah-e-Kalam-e-Raza: Mayn Ahl-e-Dolat Sarwat ki madah sara’i ya’ni ta’reef-o-tuseef kiyun karon! Mayn to apnay Aaqa-e-Kareem, Rauf-ur-Raheem عَـلَيْـهِ اَفۡضَلُ الـصَّلٰوةِ وَالـتَّسۡلِیۡم kay dar ka faqeer hon. Mayra deen ‘Para-e-nan’ Nahin. ‘Nan’ ka ma’na roti aur ‘para’ ya’ni tukra. Matlab ye kay mayra deen ‘roti ka tukra’ nahin hay kay jis kay liye maaldaron ki khushamdayn karta phiron.
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب           صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد

Baydari mayn Deedar-e-Mustafa ﷺ

Mayray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه dosri bar Hajj kay liye hazir huway to Madinah Munawwarah زَادَھَـا الـلّٰـهُ شَـرَفًـا وَّ تَـعۡـظِیۡـمًا mayn Nabi-e-Rahmat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki ziyarat ki aarzo liye Roz-e-Athar kay samnay dayr tak Salat-o-Salaam parhtay rahay, magar pehli raat qismat mayn ye sa’adat na thi. is muqa’ey per woh ma’roof na’tiya ghazal likhi jis kay matlay’ mayn daman-e-rahmat say wabastagi ki umeed dikhai hay.
Woh Suey lala zar phirtay hayn 
Tayray din aey bahar phirtay hayn 
Sharah-e-Kalam-e-Raza: Ay Bahar jhoom ja! Kay tujh per baharon ki bahar aanay wali hay. Woh daykh! Madinay kay Tajdar صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم suey lala zar ya’ni janib-e-gulzar tashreef la rahay hayn!
Maktay mayn Bargah-e-Risalat mayn apni ‘Aajizi aur bay-maeegi (ya’ni miskeeni) ka naqsha youn khencha hay:
Koi kiyun puchay tayri baat Raza
Tujh say shayda hazar phirtay hayn
(A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay misra’-e-sani may ba-tor-e-‘Aajizi apnay liye ‘Kuttay’ ka lafz isti’mal farmaya hay magar adban yahan ‘Shayda’ likha hay).
Sharah-e-Kalam-e-Raza: Is Maktay’ mayn ‘Aashiq-e-Mah-e-Risalat Sarkar A’la Hazrat kamal-e-inkisari ka izhar kartay huway apnay Aap say farmatay hayn: Ay Ahmad Raza! To kiya tayri haqeeqat kiya! Tujh jaysay hazron Sagan-e-Madinah galiyon mayn youn phir rahay hayn!
Ye ghazal arz ker kay deedar kay intizar mayn muadab baythay huway thay kay qismat angra’i lay ker jag uthi aur chashman-e-sar (ya’ni sar ki khuli aankhon) say baydari mayn ziyarat-e-Mahboob-e-Baari صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم say musharaf huway.
(Aidan, pp. 92) 
Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho aur un kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
سُـبْحٰـنَ الـلّٰــه عَزَّوَجَلَّ! Qurban jaeye un aankhon per kay jo ‘Aalam baydari mayn Janab-e-Risalat ma’ab صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kay deedar say sharaf-yab huwayn. Kiyun na ho kay Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay andar Ishq-e-Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kot kot ker bhara huwa tha aur Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ‘Fina Fir-Rasool’ kay A’la mansab per fayz thay. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ka na’tiya kalam is amar ka shahid hay. 
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب           صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد

Seerat ki Ba’z Jhalkiyan

Mayray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn: Agar koi mayray dil kay do turkay ker day to ayk per لَآاِلٰهَ اِلَّااللّٰهُ aur dosray per صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم مُحَمَّدٌرَّسُوۡلُ اللّٰهِ likha huwa paye ga. (Sawaneh Imam Ahmad Raza, Safha 96, Maktab Noriyah rizviyah sukkur)
Tajdar-e-Ahl-e-Sunnat Shahzada-e-A’la Hazrat Huzoor Mufti-e-A’zam Hind Maulana Mustafa Raza Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ‘Saman-e-Bukhshish’ mayn farmatay hayn:
Khuda Ayk per ho to ayk per Muhammad 
Agar qalb apna do para karon mayn
Mashaykh-e-Zamana ki nazron mayn Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه waki’i Fana Fir-Rasool thay. Aksar Firaq-e-Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم mayn ghamgeen rahtay aur sard aahayn bhara kartay. Payshawer gustakhon ki gushtakhana ‘ibarat ko daykhtay to aankhon say aansoon ki jhari lag jati aur Piyaray Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki himayat mayn gustakhon ka sakhti say rad kartay ta-kay woh jhunjhala ker A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ko bura kahna aur likhna shuru kardayn. 
Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه aksar is per fakhar kiya kartay kay Bari Ta’ala nay is daur mayn mujhay Namos-e-Risalat Ma’ab صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kay liye dhal banaya hay. Tareeq-e-Isti’mal ye hay kay bad-goyun ka sakhti aur teez kalami say rad karta hon kay is tarah woh mujhay bura bhala kahnay mayn masroof ho jayn. Us waqt tak kay liye Aaqa-e-Do Jahan صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki shan mayn gustakhi karnay say bachay rahayn gay. Hadaiq-e-Bakhshish shareef mayn farmatay hayn:
Karon tayray naam pay jaan fida na bus ayk jaan do jahan fida 
Do jahan say bhi nahin jee bhara karon kia karoron jahan nahin
Ghuraba ko kabhi khali hath nahin lautatay thay, hamaysha ghareebon ki imdad kartay rahtay, balkay aakhiri waqt bhi A’zeez-o-Aqarib ko wasiyat ki kay ghuraba ka khas khayal rakhna. Un ko khatir-dari say achay achay aur lazeez khanay apnay ghar say khilaya karna aur kisi ghareeb ko mutlaq na jherakna.
Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه aksar tasneef-o-taleef mayn lagay rahtay. Panchon namazon kay waqt masjid mayn hazir hotay aur hamaysha namaz ba-jama’at ada farmaya kartay, Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki khorak buhut kam thi.

Duran-e-Milad baythnay ka andaz

Mayray A’la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه Mehfil-e-Milad Shareef mayn zikr-e-wiladat shareef kay waqt Salat-o-Salaam parhnay kay liye kharay huway baqi shuru say aakhir tak adban do-zano baythay rahtay. Youn hi Wa’z farmatay, chaar (4) panch (5) ghantay kamil do-zano hi member shareef per rahtay. (Aidan, safha 119, Hayat-e-A’la Hazrat, jild 1, safha 98) 
Kash! hum ghulaman-e-A’la Hazrat ko bhi Tilawat-e-Quran kartay ya sunntay waqt nez Ijtama-e-Zikr-o-Naat sunnaton bharay ijtama’at, madani muzakirat, dars-o-madani halqon wagherah mayn adban do-zano baythnay ki sa’adat mil jaey.

Sonay ka munfarid andaz

Sotay waqt hath kay angothay ko shahadat ki ungli per rakh laytay takay ungilyon say lafz ‘Allah’ ban jaey. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه payr phayla ker kabhi na sotay balkay dahini (ya’ni seedhi) karwat layt ker dono hathon ko mila ker sar kay nichay rakh laytay aur pa’aon mubarak samayt laytay, Is tarah jisim say lafz ‘Muhammad’ ban jata. (Hayat-e-A’la Hazrat, jild 1, safha 99, wagherah) Ye hayn Allah عَزَّوَجَلَّ kay chahinay walon aur Rasool-e-Pak
 صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kay sachay ‘aashiqon ki adayn.
Naam-e-Khuda hay hath mayn naam-e-Nabi hay zaat mayn
Muhar-e-ghulami hay pari, likhay huway hayn naam do 
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب           صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد

Train ruki rahi

Janab Sayyid Ayub Ali Shah Sahib رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn kay mayray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ayk bar Peeli Bhayt say Berayli Shareef Ba-zari’a-e-Rayl ja rahay thay. Rastay mayn nawab-gunj kay station per jahan gari sirf do minutes kay liye thayhirti hay, Maghrib ka waqt ho chukka tha, Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay gari thayhirtay hi Takbeer Iqamat farma ker gari kay andar hi niyyat bandh li, ghaliban paanch shakhson nay iqtada ki un mayn, mayn bhi tha laykin abhi shareek-e-jama’at nahin honay  paya tha kay mayri nazar ghayr-muslim guard per pari jo plate form per khara sabz jhandi hila raha tha, Mayn nay khirki say jhank ker daykha kay line clear thi aur gaari chhoot rahi thi, magar gaari na chali aur Huzoor Hazrat nay ba-itminan tamam bila kisi iztirab kay teenon farz rak’atayn ada ki aur jis waqt dayen janib salaam phayra tha gaari chal di muqtadiyon ki zaban say bay-sakhta Subhan-Allah, Subhan-Allah, Subhan-Allah nikal gaya.
Is karamat mayn qabil-e-ghor ye baat thi kay agar jama’at plate form per khari hoti to ye kaha ja sakta tha kay guard nay ayk buzrugh hasti ko daykh ker gaari rok li ho gi aysa na tha balkay namaz gari kay andar parhi thi. Is thoray waqt mayn guard ko kiya khabar ho sakti thi kay ayk Allah عَزَّوَجَلَّ ka mahboob banda fariza-e-Namaz gaari mayn ada karta hay.  (Aidan, jild 3, safha 189, 190)
Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho aur un kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
Woh kay us dar ka huwa Khalq-e-Khuda us ki howi
Woh kay us dar say phira Allah us say phir gaya. 
(Hadaiq-e-bukhshish Shareef)
Sharah-e-Kalam-e-Raza: Jo koi Sarkar-e-Namdar, Madinay kay Tajdar صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ka muti’e-o-farman bardar huwa makhloq-e-parwerdegar us ki ita’at-guzar ho gai aur jo koi darbar-e-Huzoor-e-Pur-Noor صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم say dor huwa woh Bargah-e-Rab-e-Ghaffor عَزَّوَجَلَّ say bhi dor ho gaya.
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب           صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد

Tasaneef

Mayray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay mukhtalif ‘unwanat per kam-o-baysh ayk hazar kitabayn likhi hayn. Youn to Aap
رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay 1286 Hijri say 1340 Hijri tak lakhon fatway diye ho gay, Laykin Afsos! Kay sab naqal na kiye ja sakay, jo naqal ker liye gaye thay un ka naam ‘اَلعَطايَا النَّبَوِيَّه فِي الفَتاوَي الرَّضَوِيَّه’ rakha gaya. Fatawa-e-Razawiyah (Mukharajah) ki 30 jildayn hayn jin kay kul 21656, kul sawalat-o-jawabat: 6847 aur kul rasail: 206 hayn. 
(Fatawa-e-Razawiyyah, jild 30 safha 10, Raza Foundation Markaz-ul-Awliya Lahore)
Quran-o-Hadees, Fiqa, mantiq aur kalam wagherah mayn Aap   رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki wus’at-e-nazri ka andazah Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay fatawa kay mutal’ay say hi ho sakta hay. Kiyun kay Aap
رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay her fatway mayn dala’il ka samundar mauj zan hay. Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay saat rasail kay naam mulahizah hon:
(1) سُبۡحٰنَ السُّبُّوح عَنۡ عيبِ كِذبٍ مَقۡبُوح Sachay Khuda per jhoot ka buhtaan baandh-nay walon kay rad mayn ye risala tahreer farmaya hay jis nay mukhalfeen kay dam tor diye aur qalam nichor diye (2) مَقامِعۡ الۡحَمدِيد (3) اَلۡاَمۡنُ وَالۡعُلٰي (4) تَجَلِّي الۡيقين 
(5) اَلكَوكَبَةُ الشَّهَابِية (6) سِلّ السُّيُوف الۡهِنديه (7) حيات الۡموات
‘Ilm ka chashma huwa hay mauj zan tahreer mayn
Jab qalam tu nay uthaya aey Imam Ahmad Raza
(Wasaiel Bukhshish safha 536)

Tarjama-e-Quran-e-Kareem

Mayray Aaqa A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay Quran-e-Kareem ka tarjama kiya jo urdu kay mujudah tarajim mayn sab per faiq (ya’ni foqiyat) hay. Tarjama ka naam ‘Kanz-ul-Imaan’ hay jis per Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay khalifah Hazrat Sadr-ul-Afazil Maulana Sayyid Muhammad Naeemuddin Muradabadi رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay ba-naam ‘Khazain-ul-Irfan’ aur Mufassir-e-Shaheer Hakeem-ul-Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yar Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay ‘Noor-ul-Irfan’ kay naam say hashiya likha hay.

Wafat-e-Hasrat Aayaat

A’la Hazrat رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay apni wafat say 4 mah 22 din pehlay khud apni wisaal ki khabar day ker parah 29 Surat-ul-Dahar ki aayat 15 say saal-e-Intiqal ka istikhraj farma diya tha. Is aayat shareefa kay ‘Ilm-e-Abjad kay hisab say 1340 ‘adad bantay hayn aur yahi hijri saal kay aytibar say sann-e-wafat hay. Woh Aayat Mubarikah ye hay: 
وَيُطَافُ  عَـلَيْهِمْ   بِاٰنِيَةٍ  مِّنۡ  فِضَّةٍ   وَّاَکْوَابٍ
Tarjama-e-Kanz-ul-Imaan: Aur un per chandi kay bartanon Aur kuzon ka daur hoga. (Sawanih-e-Imam Ahmad Raza safha 384)
25 Safar-ul-Muzaffar 1340 Hijri mutabik 28 October 1921 ko Jummat-ul-Mubarak kay din Hindustan kay waqt kay mutabiq 2 baj ker 38 minutes (aur Pakistani waqt kay mutabik 2 baj ker 8 minutes) per ‘ayn Azan-e-Jummah kay waqt A’la Hazrat, Imam-e-Ahl-Sunnat, Wali-e-Nay’mat, ‘Azeem-ul-Barakat, 'Azeem-ul-Martabat, Perwana-e-Shama’-e-Risalat, Mujaddid-e-Deen-o-Millat, Hami-e-Sunnat, Mahi-e-Bid’at, ‘Aalim-e-Shari’at, Peer-e-Tareeqat, Ba’is-e-Khayr-o-Barakat, Hazrat A’llamah Maulana Al-Hajj, Al-Hafiz Al-Qaari Shah Ahmad Raza Khan رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay Da’eye Ajal ko labbayk kaha. اِنَّا لِلّٰہِ وَ اِنَّآ اِلَیۡہِ رٰجِعُوۡنَ 
Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه  ka Mazar pur Anwar Madina-tul-Murshid Berayli Shareef mayn aaj bhi ziyarat-gah khas-o-‘Aam hay. Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho aur un kay sadqay hamari bay-hisaab maghfirat ho. 
اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
Tum kiya gaye kay Ronak-e-Mehfil chali gai
Shay’r-o-Adab ki zulf Parayshan hay aaj bhi
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب           صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد

Darbar-e-Risalat mayn intizar

25 Safar-ul-Muzafar 1340 Hijri ko Bayt-ul-Muqaddas mayn ayk Shami Buzrug رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay khuwab mayn apnay aap ko Darbar-e-Risalat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم mayn paya. Sahaba-e-Kiraam عَـلَيْهِمُ الرِّضْوَان Darbar mayn hazir thay, laykin majlis mayn sukoot tari tha aur aysa ma’loom hota tha kay kisi aanay walay ka intizar hay, Shami Buzrug nay Bargah-e-Risalat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم mayn arz ki: Huzoor! صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم mayray maa baap Aap per qurban hon kis ka intizar hay? Sayyid-e-‘Aalam صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم nay irshad farmaya: Hamayn Ahmad Raza ka intizar hay. 
Shami Buzrug nay Arz ki: Huzoor! Ahmad Raza kon hayn? Irshad huwa: Hindustan mayn berayli kay bashanday hayn. Baydari kay ba’ad woh Shami Buzurg رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه Maulana Ahmad Raza رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه ki talash mayn Hindustan ki taraf chal paray aur jab woh Berayli Shareef aaey to unhayn ma’loom huwa kay us ‘Aashiq-e-Rasool ka usi roz (ya’ni 25 Safar-ul-Muzaffar 1340 Hijri) ko wisaal ho chukka hay. Jis roz unhon nay khuwab mayn Sarkar-e-‘Aali Waqar صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ko ye kahtay sunna tha kay ‘Hamayn Ahmad Raza ka intizar hay’. 
(Sawanih-e-Imam Ahmad Raza safha 391) 

Allah عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho aur un kay sadqay hamari bay-hisaab maghfirat ho. 
Ya Ilahi jab Raza khuwab-e-Giran say sar uthaye
Dolat-e-Baydar ishq-e-Mustafa ka sath ho

اٰمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِه وَسَلَّم
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب           صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد


Sag-e-Ghaus-o-Raza:
Muhammad Ilyas Qadiri Razavi عُفِيَ عَنۡهُ
25th of Saffar-ul-Muzaffar, 1393 Hijri
31-03-1973

BOOK TOPIC

BOOK TOPIC

Sirat-ul-Jinan

SIRAT UL JINAN

MOBILE APPLICATION

Marfatul Quran

MARIFATUL QURAN

MOBILE APPLICATION

Faizan-e-Hadees

FAIZAN-E-HADEES

MOBILE APPLICATION

Prayer Time

PRAYER TIME

MOBILE APPLICATION

Read and Listen

READ AND LISTEN

MOBILE APPLICATION

Islamic EBooks

ISLAMIC EBOOKS

MOBILE APPLICATION

Naat Collection

NAAT COLLECTION

MOBILE APPLICATION

Bahar-e-Shariyat

BAHAR E SHARIYAT

MOBILE APPLICATION