Listing 5000+ Islamic books in more than 30 languages. Read online or download in PDF.
saktay! Ye kah ker us nay kuwayn mayn thook diya, kamaal ho gaya! Aanan fanan pani opper aa gaya.
Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه nay wuzu karnay kay ba’ad us bachi say farmaya: Bayti! Sach batao tum nay ye kamaal kis tarah hasil kiya? Kahnay lagi: ‘Mayn ba-kasrat Durood-e-Pak parhti hon, isi ki barakat say ye karam huwa hay.’ Aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه farmatay hayn: Us ‘bachi’ say mutasir ho ker mayn nay wahin ‘ahad kiya kay Durood Shareef kay muta’lliq kitaab likhon ga. (Phir unhon nay Durood Shareef ki kitaab ‘Dalael-ul-Khayrat’ likhi) (Sa’adat-ud-Darayn, safha. 159)
Allah Rabb-ul-Izzat عَزَّوَجَلَّ ki un per rahmat ho aur un kay sadqay hamari bay hisaab maghfirat ho
آمِيۡن بِجَاهِ النَّبِيِّ الۡاَمِيۡن صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلَيۡهِ وَاٰلِهِ وَسَلَّم
BOOK TOPIC
BOOK TOPIC