Listing 5000+ Islamic books in more than 30 languages. Read online or download in PDF.
us per rahm ki darkhuwast kartay aur maut say bachnay kay liye cheekh-o-pukaar macha rahay hotay hayn, laykin video game khaylnay wala final round tak puhnchnay kay liye in sab ko bandoq ki goliyon say bhunta huwa aagay barhta chala jata hay. Her taraf khoon hi khoon dikhaie dayta hay aur game khaylnay wala in tamaam manazir say lutuf andoz hota hay. Ba’az gamon mayn ‘Hero’ (car) mayn suwar ho ker logon ko kuchalta huwa chala jata hay, ba’az gamon mayn insaan ko zibah karnay aur sar kaatnay kay haybat naak manazir dikhaey jatay hayn, ba’az gamon mayn makanaat aur pull bomb dhamakon say uranay kay manazir dikhaey jatay hayn. Kiya ye sab kuch bachon kay kachay zihan kay liye nuqsaan dah nahin? Agar ye kaha jaey to shayad bay jana hoga kay is waqt mu’asharay mayn tayzi kay sath barhnay walay jaraim mayn video games ka nihayat gehra ta’lluq hay.
BOOK TOPIC
BOOK TOPIC