Listing 5000+ Islamic books in more than 30 languages. Read online or download in PDF.
Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ko daykh liya, Abu Jahal nay apni ounthini bithaie aur Sarkar-e-Namdar صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ko apnay peechay baytha ker ounthini ko uthana chaha to woh na uthi! Phir jab apnay aagay bithaya to ounthini khari ho gaie aur goya Abu Jahal say kahnay lagi: ‘Aray baywaqof! Ye to Imam hayn, muqtadi kay peechay kaysay ho saktay hayn!’
Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibn Abbas رَضِیَ اللهُ تَعَالٰی عَنْهَمَا mazeed farmatay hayn: Allah عَزَّوَجَلَّ nay Hazrat Sayyiduna Musa Kaleemullah عَـلٰى نَبِـيِّـنَا وَ عَـلَيْـهِ الـصَّلٰوة ُ وَالـسَّلَام ko jis tarah Firawn kay zari’ey un ki Ammi Jaan tak puhnchaya isi tarah Abu Jahal kay zari’ey Sarkar-e-Do Jahan صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ko apnay Dada Jaan tak puhnchaya. (Ruh-ul-Ma’ani, Juz 30, pp. 532)
BOOK TOPIC
BOOK TOPIC