Listing 5000+ Islamic books in more than 30 languages. Read online or download in PDF.
Aap kay ghar mayn say piyari piyari roshini nazar aati hay! Bibi Halimah farmati hayn, Mayn nay kaha: Ye aag ki roshini nahin balkay Hazrat Muhammad Madani صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم kay Noor walay chehray ki roshini hay.’ (Makhoz az: Tafseer Alam Nashrah, safha 107)
Meethay meethay Madani munno aur Madani munniyo! Allah Ta’ala nay apnay piyaray Habeeb Hazrat Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ko Noor say payda farmaya hay. Hamaray Huzoor Sultan-e-Do Jahan صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم bayshak insaan to hayn magar Noor walay insaan aur saray insaanon kay Sardar hayn.
Noor wala aaya hay han Noor lay ker aaya hay
Saray ‘Aalam mayn yeh daykho kaysa Noor chhaya hay
صَلُّوۡا عَلَى الۡحَبِيۡب صَلَّى اللّٰهُ تَعَالٰى عَلٰى مُحَمَّد
BOOK TOPIC
BOOK TOPIC