Book Name:Maktoob e Attar

وَاٰلِهٖ وَسَلَّم nashta ker rahay thay, farmaya: Aey Bilal !nashta ker lo, ‘arz ki: Ya Rasoolallah صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم! Mayn rozah daar hun, tou Rasoolallah nay farmaya: Hum apni rozi kha rahay hayn, Bilal ka rizq jannat mayn barrh raha hay, aey Bilal! Kia tumhayn khabar hay kay jab tak rozay dar kay samnay kuch khaya jaey tab tak us ki haddiyan tasbeeh karti hayn, isay farishtay du’ayn daytay hayn.

(Shu’ab-ul-Iman jild 3 safha 297 Hadees 3586)

Mufassir-e-Shaheer Hakeem-ul-Ummat Hazrat-e-Mufti Ahmad Yar Khan عَـلَيْهِ رَحْـمَةُ الْـحَنَّانْ farmatay hain : Is say maloom huwa kay agar khana khatay mayn koi ajae tou usay bhi khanay mayn bulana Sunnat hay, mager dili iraday say bulaey jhooti tawaz’o na karay, aur anay wala bhi jhoot bol ker ye na kahay kay mujhay khuwahish nahi, takay bhook aur jhoot ka ijtima na ho jae, balkay agar (na khana chahay ya) khana kam daikhay tou keh day: بَارك اللّٰه (ya’ni Allah عَزَّوَجَلَّ barakat day) ye bhi ma’loom uwa kay Sarwar-e-Ka’inat, Shah-e-Mojudat صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم Say apni ibadat nahi chupani chahiyen balkay zahir ker di jaen takay Huzur-e-Pur Noor, Shafe’ay Youm-un-Nushoor صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم is per gawah ban jayn. Ye izhar Riya nahi. (Hazrat-e-Sayyiduna Bilal رَضِىَ اللهُ تَعَالٰی عَـنْهُ kay rozay ka sun ker jo kuch farmaya gaya uski sharah ye hay) ya’ni aaj ki rozi hum tou apni yahin khae laytay hayn aur Hazrat-e-Bilal  رَضِىَ اللهُ تَعَالٰی عَـنْهُ is kay ‘ewaz (‘e-wa-z) Jannat mayn kha’en gay woh ‘ewaz (ya’ni badla) is say