Book Name:Kyun 12vi Pay Hay Sabhi Ko Piyar Aa Gaya
Muskarati hayn Baharayn sab faza purnoor hay
Aaminah tujh ko mubarak shah ka Meelad ho
Tayra aangan noor tayra ghar ka ghar sab noor hay
Sarkar ki Aamad……… Marhaba……………….Sardar ki aamad……………….. Marhaba……….Aamina kay phool ki aamad………..Marhaba…………..Rasool-e-Maqbool ki aamad…………….Marhaba…………..Piyaray ki aamad…………..Marhaba……………. Achhay ki aamad…………. Marhaba………… sachhay ki aamad………… Marhaba……………… sohnay ki aamad…………. Marhaba………. Mohnay ki aamad……….Marhaba…………………. Mukhtar ki aamad………….. Marhaba
Marhaba Ya Mustafa ……………………………………. Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa ……………………………………. Marhaba Ya Mustafa
صَـلُّوا عَلَى الْـحَـبِيْب صَـلَّى الـلّٰـهُ تَـعَـالٰى عَـلٰى مُـحَـمَّد
Meethi meethi Islami behno! Bayan kardah waaqi’ay say hamayan chand Madani phool hasil huway masalan,
» Sadr-ul-Afazil aik ba karamat buzurg thay jin ki karamat say Meelad Shareef kay laddo`on may is qadar barakat hui kay tamam haazireen may taqseem honay kay ba’d bhi un laddo`on ki ta’dad utni hi thi jitni aap رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه kay romaal-e-ba kamal dalnay say qabl thi
» Mahaafil-e-Meelad ya buzurgan-e-Deen kay A’araas kay maqa’ par biryani ya qormay waghayrah kay zari’ah Langar karna zaroori nahi, laddo, balo shahi ya is tarah kay kisi halkay phulkay item ka langar kar daynay say bhi Meelad Shareef ki barakatayn naseeb hongi.
» Jashn-e-Sarkar صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki khushiyan manana aur is maqa’ par Tabarruk ka ihtimam karna koi buri ya naye baat nahin balky ye to hamayshah say Musalmano ka Tareeqah raha hay chunanchay
Sharih Bukhari Hazrat Sayyiduna Imam Qastalani رَحْمَةُ اللهِ تَعَالٰی عَلَيْه fermatay hayn: Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالٰى عَلَيْهِ وَاٰلِهٖ وَسَلَّم ki paydaish kay maheenay may Ahl-e-Islam hamayshah say mahfilayn muna’qid kertay, khushi kay sath khana pakatay, khanay ki da’wat kartay, Rabi-ul-Awwal ki in raato may anwa’a o aqsaam ki khayrat kertay aur khushi zaahir kartay chalay aaye hayn. (Mawahib ul Ladunya, jild. 1, pp. 200)
Kiun 12vi pay hay sabhi ko piyar aa gaya
Aaya isi din Ahmad-e-Mukhtar aa gaya
Ghar Aaminah kay Sayyid-e-Abrar aa gaya
Khushiyan manao ghamzadon gham khuwar aa gaya