Book Name:Kyun 12vi Pay Hay Sabhi Ko Piyar Aa Gaya
v Is ke reshey naram hoon ke sakht reshey dantaun aur mashuraun ke darmiyaan (GAP) ka bais bantey hain.
v Miswaak taza ho tu khoob (ya’ni behtar) werna kuch dair pani ke glass mein bhigo ker naram ker lijye.
v Miswaak Wuzu ki Sunnat-e-qabliya hai albatta Sunnat-e-Maukadda usi waqt hai jab ke munh mei badbu ho. (Makuz az Fatawah Razavia Vol. 1, P. 623)
v Miswaak jab naqabil-e-iste’maal hojaye tu phenk mat dijye ke yeh aala’e adaye sunnat hai, kisi jagah ehtiyaat se rakh dijye ya dafan kerdijye ya pathar waghirah wazn baandh ker samandar mei dabu dijiye.
Tarah tarah ki Hazaraun Sunnatein sekhney ke lye Maktab-ul-Madina ki Matboa’a 2 kutub (1) 312 safhaat par mushtamil kitaab ‘Bahar-e-Sharee’at’ Hissa 16 aur (2) 120 safhaat ki kitaab ‘Sunnatein Aur Adaab’ hadyatan hasil kejye aur parhye. Sunnaton ki tarbiyat ka aik behtareen zariya Dawat-e-Islami Ke Madani Qafilaun mein ‘Ashiqaan-e-Rasool’ kay sath Sunnaton bhara safar bhi hai.
صَـلُّوا عَلَى الْـحَـبِيْب صَـلَّى الـلّٰـهُ تَـعَـالٰى عَـلٰى مُـحَـمَّد