Hajj Ka Mukhtasar Tariqa - Short Clip

  Hajj 5 din k afaal hen 8,9,10,11,12 zulhijjah, 8 zulhijjah k din ko Mina jana hy or Mina me 5 namazein parhni hen, Zuhr,Asar,Maghrib,Isha or Fajar, Fajar parhney k bad 9 zulhijjah ko jab surajh nikal aye tu Arafat ko chalna hy ye sab se aham din hy or Hajj ka rukn e azam hy or Arafat me maghrib tak rahna hy, Maghrib ki raat ab Muzdalifa me aa k guzarni hy, 10 zulhijjah ko fajr k bad wapas Mina aana hy, 10 zulhijjah ko 3 kaam karney hen pehla kam Rami e Jamarat yani sheytan ko kankariyan marna dusra kaam qurbani karna or teesra kaaam Halq karwana hy or teeno kamo me tarteeb lazmi hy, Ab ihram se farigh ho gaye. Ab 12 zulhijjah se pehley pehley Hajj ka dusra bara rukn e azam ada karna hy or wo hy Tawaf e Ziarat karna 11 or 12 ko Rami karni hy yani sheytan ko kankariyan marni hen.

Time Duration:
00:03:12
Date:
2017-08-16
Category:
Short Clips
Vocalist:
Haji Abdul Habib Attari

Download In:


CommentsHajj o Umrah Ka Tariqa