Hajj e Tamattu

  Pak o Hind se janey waley Hajj e Tamattu kartey hen. Hajj e Tamttu wo Hajj hy jis me Umrah or Hajj alag alag ihram se kia jaye, Hajj e Tamattu karney wala apney ghar ya Meeqat se sab se pehley jo ihram bandhta hy wo Umrah ka hota hy or is Hajj k leye zaroori hy Umrah Hajj k mahino me ho yani 1 Shawal se ley kar wuqoof e Arafa se pehley tak Umrah karna paya jaye, Umrah karney k bad yani Tawaf o Saee k bad ye zayir halq ya taqseer karwa kar ihram khatam kar deta hy, Phir Hajj per janey k leye 8 zulhajjah ya aik aadh din pehley Hajj ka ihram bandh kar Hajj karta hy or ye Hajj ka ye ihram us waqt khulta hy jab 10 zulhijjah ko pehley din ki rami phir qurbani se farigh honey k bad halq ya taqseer kar leyta hy is k bad aam libas me usey baqaya manasiq yani Tawaf e ziarat or baqaya din k rami wagera ada karna hoti hy.

Time Duration:
00:01:35
Date:
2017-07-24
Category:
Short Clips
Vocalist:
Mufti Ali Asghar Attari

Download In:


Comments



Muballigh e Dawateislami Mufti Ali Asghar Attari ...


Madani Pearls Of Muballigh e Dawateislami Mufti A...