Manasik e Hajj

  8 zulhijjah ko zuhar ki namaz Mina me parhni hy or agli raat qiyam kartey hoye fajar parh kar wahan se Arafat rawana hona hy, 9 zulhijjah ko zuhar se pehley Arafat pohanch k gusl kar len or zuhar ta guroob e aftab wuqoof e Arafat kartey hoye Hajj ka sab se bara rukn ada karna hy mojooda surat e haal me zuhar or asar apney apney waqt me parhni hy, 9 zulhijjah ki shab k mamolat, suraj guroob hotey hi Arafat se nikal jana ha, Maghrib o isha mila kar Muzdalifa me isha k waqt me parhni hy, yahan se 3no din ki rami k leye kankariyan uthani hy, Fajar ka waqt shuru honey se ley kar suraj niklney se pehley pehley kam az kam aik lamha ka wuqoof Muzdalifa me wajib hy, 10 zulhijjah Mina k leye rawana hona hy, Aj k din sirf barey sheytan ko kankariyan marni hen,Kankariyan marney k bad qurbani karni hy, Qurbani ho janein k bad halq ya taqseer k bad ihram khol dena hy, Tawaf e ziarat daswee din hi karna afzal hy, Albatta barwi k guroob e aftab se pehley pehley karna wajib hy ye Hajj ka dusra bara rukn hy.

Time Duration:
00:12:34
Date:
2017-03-27
Category:
Short Clips
Vocalist:
Mufti Ali Asghar Attari

Download In:


Comments