Qurbani Kia Hai?
Hazrat e Ibrahim عَلَیْہِ السَّلَام ne 86 saal ki umer me Allah ki bargah me olad e saleh ki dua ki. Allah Pak ne apko betay ki olad se nawaza jinka naam Ismail rakha, phir kuch arsey k bad Allah ki janib se hukm hoa k is bachey or Bibi Hajra ko aesi jaga chor aye jahan khaney peney ki koi chez na ho, is hukm per amal kartey hoye Hazrat e Ibrahim عَلَیْہِ السَّلَام inko Makkah ki wadi me Kaba tul Musharrafa k pass chor aye us waqt us jaga jungle bayaban tha. Kuch din bad jab khaney peeney ki chezen khatam ho gai tu Hazrat Ismail عَلَیْہِ السَّلَام piyas ki shiddat ki wajha se apney paon ki aeriyan zameen per ragarney lagey, Bibi Hajra رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہَا ne apki piyas ki wajah se pareshan ho k Safa or Marwa ki pahariyon pe 7 chakkar lagaye, Hazrat Ismail عَلَیْہِ السَّلَام ne jab apney paon ki aeriyan zameen per ragrien tu zameen se paani nikal aya, Bibi Hajra رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہَا ne farmaya Zam Zam, g han ye wohi Zam Zam hy jisko aj hum log tabaruk k toor pe petey hen .
Comments