Na’t

‘Ajab rang par hay Bahar-e-Madinah

‘Ajab rang par hay Bahar-e-Madinah

Kay sab jannatayn hayn nisar-e-Madinah

Mubarak rahay ‘andaleebo tumhayn gul

Hamayn gul say behtar hayn khaar-e-Madinah

Mala’aik lagatay hayn aankhon mayn apni

Shab-o-rooz khaak-e-mazaar-e-Madinah

Rahayn un kay jalway basayn un kay jalway

Mayra dil banay yaadgar-e-Madinah

Do ‘alam mayn bat-ta hay sadaqah yahan ka

Hamayn ik nahin rayzah khuwar-e-Madinah

Bana aasman manzil-e-Ibn-e-Maryam

Gaye la-makan Tajdar-e-Madinah

Sharaf jin say haasil huwa Ambiya ko

Wohi hayn Hassan Iftikhar-e-Madinah

(Zauq-e-Na’t, p. 212)

 Penned by: Baradar A’la Hadrat, Maulana Hasan Raza Khan رَحْمَةُ الـلّٰـهِ عَلَيْه


Share

Articles

Comments


Security Code